Aankh Or Kaan me Dawa(Drops) Dalne se Roza Tootega Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Aankh Or Kaan Pe Dawa(Drops) Dalne Se Roza Toot Jata He ? Pakistan Ki Ek Post Padhi jisme Likha He ki Aankh Me Dawa Dalne Se Roza Toot Jayega, Or Kaan Me Dawa Dalne Se Roza Nahi Tootega.

Sahi Mas'Ala Kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
بسم اللہ الرحمن الرحیم
الجواب:-
Aankh me ya kaan me Dawa  dalne se roza tootega ya nahi  ye masla Pakistan me bahut hi mash'hooro ma'aroof mas'ala he or vaha par mukhatalif fee he, ha  hamare mulk Hindustan ke muftiyane kiram or sarkar mufti e aazame hind se le kar ab tak jitne Bhi aulma e kiram pakistan me ya yaha  guzre he ya usse qabl guzre he un tamam ka ba-ittefaqe raaye yahi faisla tha ki aankh me dawa yani eye drops Dalne se roza nahi tootega or kaan me dawa dalne se roza toot jayega, aulma e salaf w khalaf w aaj tak hindustan w digar mumalik ke aulma e kiram ka mutafaqqa yahi faisla he ki aankh me dawa dalne se roza nahi tootega or kaan me dawa dalne se ya katre tapkane se roza toot jayega.

Is  Mas'ale ki zyada wazahat Bahare Shariyat ke 5ve Hisse me, Fatawa Razviya me aur majlis e sharai ke fesle se Maloom Kare.

Uski Wajah kya he ki  Pakistani ooloma keyte hai k "Aankh  me dawa dalne se Roza Toot jata he or Kaan me dawa dalne se roza nahi tootega ? "

Pakistan ke baaz Aulma ye kahte he ki aankh me ek esa surakh he jo sidha pet me jata he or kaan se lekar gale tak Aysa Surakh nahi he ki usme agar koi dawa daali jaye to pet ya dimag ko pahuch jaye, ye unki daleel he is Wajah se unhone  Aulma e salaf  w khalaf ke Mas'Ala se inheraf karte huye usse muh modte huye Ye kaha ki Aankh me dawa dalne se roza toot jayega or kaan me dawa dalne se Roza Nahi tootega.

Ab Aaiye Hamare Aulma E salaf w khalaf yani imame Aazam Abu Hanifa RadiAllahu Ta'ala Anhu se Lekar aaj tak aulma e kiram muftiyane izam ka jo muhaqqaq  or ittefaqi mas'ala he ittefaqe raaye se jo fatawa he vo ye ki Aankh Me Koi Bhi Aysa Surakh Nahi He Jo Sidhi Dawa Ke Drops Ko Pet Me Pahucha De, Haañ Kaan Me Aysa Surakh He Jo Pet Me Pahucha De. 
Aur ek vajah majlis e sharai ne ye bhi di k kaan ke androoni hisse ko javf  e batin qarar diya gaya hai...

_is wajah se Aulma E Salaf w khalaf ye farmate he ki Aankh me Drops Dalne se Roza Nahi tootega or Kaan Me Drops Dalne se Roza Toot Jayega._

Uski Ek Waazeh Misal surma he.
Kya Aankh me surma lagane se Roza Toot jata he ?
Jab aankh me surma lagane se roza nahi tootta to fir eye drops se Roza Kyu Tootega ?

Rahi Ye baat ki Jab surma lagate he to fir gale me uska asar ya test mahesoos kyu hota he ?

To yaad rakhe hamare Jism me 2 Qism ke surakh he.
1. jo chhote chhote chhote he.usko masam kehte hai.
2. jo Bade Bade Surakh he.jinko manfaz kaha jata hai..

Un bade bade surakho me Naak, Kaan, Muh, Or Pichche Ka Makam He.

Or Chhote Chhote Surakh me Baal Ugne Ki Jagah, Aankh Ke Andar Jo Parda He vo..

Ye Chhote Chhote Surakho ke zariye agar koi cheez javf tak pahuch jaye to usse roza fasid nahi hota he.

Bade bade surakh yani kaan, naak, muh or pichhe ka makam uske zariye koi cheez badan ke andar jati he to usse roza fasid ho jata he.

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬 Tadriso ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah,Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*

📲8487928693
============➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts