Kafir Ko Kiraye Pe Function Hall Ya Kursiya Ya Samiyana Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Khud ka shaadi khana (functionhall ) hai.. To isme kaafiro ko unke functions(shadiyo ) ke liye dena kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

ShadiKhana, ya Shamyana Kursi table wagairah, bataure ujrat hindu,muslim, badmazhab, gumrah ko dena jaiz he.
Agarche usko gunah ke kamo me istemal kare.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Musalman ne kisi kafir ko rahne ke liye makan kiraya par diya ye ijara jaiz he koi harj nahi. Ab us ghar me kafir ne sharab pee ya salaib ki parasti ki ye us kafir ka zaati fe'al ge us se Musalman par gunah nahi hañ agar us makan me kafir ne ghanta or naqoos bajaha ya sankh phunka ya ae'laniya sharab bechna shuru'a kiya to zaroor in umoor se roka jayega.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-14, S-145)*

_Or Imame Ahele sunnat Mujaddide Dino Millat Aala Hazrat Alaihir Rahemato Ridwan se Is tarah Ka ek sawal puchaa gaya ki hinduo ke jalsa me kiraya par kursiya dena jaiz he ya najaiz ? Aap ne farmaya ki unki kufriyat kursi par mauquf nahi he, na kursi ka unke kufr me koi ta'awwun he.
Lihaza unhe kiraya par kursi dena jaiz or unka kiraya haram nahi he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-538, RAZA FOUNDATION LAHOR)*

_Or Fatawa Bazariya Me He,_
" كل موضع تعلقت المعصية بفعل فاعل مختار كما اذا اجر منزلها ليتخذه بيعة او كنيسة او بيت نار يطيب له " اھ

Yaani Har vo soorat jis me gunah ka ta'awwun khud mazdoor se na ho balki kisi or ba ikhtiyari shakhs se ho vahañ mazdoori jaiz he, jaise koi shakhs apna ghar kisi ko ibadat khana, gurba ya aatish kada banane ke liye kiraya par de to uske liye kiraya jaiz he.
*📚(FATAWA BAZARIYA  AL HAMISHUL HINDIYA, J-5, S-125)*

Or isi tarah kisi ka makan ko kisi majoosi, isai ya yahudi ko kiraya par dena jaiz he agarche vo us me aatish kada banaye ya girja banaye ya usme sharab bechi jaye wagairah kyu ki ye kiraye makan ki manfe'at ke badle me he or ye bilkul halal he use taawun alal eism nahi kahege.

_Jaisa Ki Hidaya  Me He_
ومن اجر بيتا ليتخذه فيه بيت نار او كنيسة او بيعة او يباع فيه الخمر بالسواد فلا بأس به وهذا عند ابى حنيفة لان الإجارة ترد على منفعة البيت و لهذا تجب الاجرة بمجرد التسليم ولا معصية فيه و انما المعصية بفعل المستاجر وهو مختار " اھ :

Yaani Jis ne makan kiraya par diya kj us me aatish kada ya girja ya vahañ sharab farokht ki jaye to koi harj nahi kyu ki ijara ka in'eqad makan ki manfe'at par huva he usi wajah se sirf ghar supurd kar dene se ujrat wajib ho gai or usme koi gunah nahi he. Gunah to kiraya daar ke fe'al se huva or yahi Mukhtar he.

*📚(AL-HIDAYA, J-4, S-470, )*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts