Kya Barish Ke Paani Me Shifa he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya ye Hadish Sahih he ?👇🏻
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya ki barish ke paani me Allah ne shifa rakhi he nabi ﷺ ne farmaya agar koi barish ke paani ko bartan me jama kare or usme sura e rahman pade or kisi ese mariz ko pilaye jisko la ilaj bimari ho to allah use shifa dega.

*🌹JAWAB:-🌹*
Is Tarah ki koi hadees nazar me Nahi, Lekin Beshak Barish Ka paani Khairo Barkat Wala he, Or Us par Qura'ani Aayat Dam karne se khairo barkat w shifa Milti he.

_Jaisa Ki Qura'an Majeed me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata he_

وَنَزَّلْنَا مِنَ السَّمَاءِ مَاءً مُّبَارَكًا فَأَنبَتْنَا بِهِ جَنَّاتٍ وَحَبَّ الْحَصِيدِ
Or ham ne aasman se barkat wala paani utara.
*📚(SURA E QAAF, AAYAT-9)*

_Or Uski Tafsir Me He,_

Yaha se Allah Ta'ala ki qudrat ki tisri daleel bayan ki jaa rahi he, chunanche is aayat or is ke ba'ad wali do aayat ka khulasa ye he ki ham ne aasamn se barish ka paani utara jis se Har cheez ki zindagi bhi he or bahut khairo barkat bhi........
*📚(Tafsir Madarik)*
*📚(Tafsire Khazin)*
*📚(Tafsire Jalalain)*
*📚(SIRATUL JINAN FI TAFSIRIL QURA'AN)*

Or Ek Riwayat Ameerul Mua'mineen Hazrat Saiyeduna Maula e kainat, Hazrat Ali KaramAllahu Wajahul Kareem Mareezo ko is tarah hidayat famate the ki Qura'ane Paak Ki koi si Aayat likh kar usko barish ke paani se dho kar us paani me Shahad Mila kar pee le insha'Allah Shifa Payega.
 *📚تَفْسِیْراِبْنِ کَثِیْر، پ۱۴،النحل،تحت الآیة:۶۹،۴/۵۰۱  ملخّصاً*

Beshak Qura'an Majeed Ki Kisi Bhi Aayat Ko Paani Par Dam Kar Ne se Usme Allah Ta'ala Apne fazl se Khairo Barkat w Bimario se Shifa Ata Farmata he.
Lekin Bina Hawale Use Hadees Shareef Kahna Durust Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

3 comments:

  1. Mujhe zada tar jawab mil gye par abhi b kuch jawab hai jo mai nhi jaanta.. or usko jaanna zaruri samjhta hu taki agar koi samne wala puche to uska jawab de saku..., Mujhe tawwez or faal k bare me jaankri chahiye un sb ko jawab dene k liye

    ReplyDelete
  2. Mujhe zada tar jawab mil gye par abhi b kuch jawab hai jo mai nhi jaanta.. or usko jaanna zaruri samjhta hu taki agar koi samne wala puche to uska jawab de saku..., Mujhe tawwez or faal k bare me jaankri chahiye un sb ko jawab dene k liye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Taweez Or Faal KE Ta'alluq Se Bhi Jawab Maujud He Aaap Ek Baar Search KIJIYE INSHAALLAH MIL JAYEGA

      Delete

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts