Namaza Me Do Sajdo Ke Darmiyan Khamosh Raha Jaye Ya Dua Padhi Jaye ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Hazrat Kyaa Hanafi Fiqh Men
Namaaz Men Donon Sajdon Ke Darmiyaan Jo Qhaamosh Rehne Kaa Hukm Hai Woh Hadees Ke Qhilaaf Hai?

Hazrat Hadees Men Aataa Hai Ke Donon Sajdon Ke Darmiyaan Du'aa Padhi Jaae.

*🌹JAWAB:-🌹*
 و علیکم السلام و رحمت اللہ

_Huzur Aala Hazrat Mujaddide Dino Millat Ashshah imam Ahemad Raza Khan Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qauma W Jalsa ke Azkare Taweel nawafil par mahmool he lihaza hamare A'imma faraiz me unhe masnoon nahi jante or shak nahi ki faraiz me taweel fahash khilafe sunnat he or imam ke liye to qat'an mamnoo'a jab ki muqtadio me kisi par bhi girañ ho, Hañ munfarid ba'az kalimate masoorah badhaye to harj bhi nahi, yunhi imam bhi jabki muqtadi mahsoor or sab raazi ho, raha Muqtadi vo aap hi itba'e imam karega, agar imam kahe, kahe warna nahi.

وفی الدرالمختار یجلس بین السجدتین مطمئنا ولیس بینھما ذکر مسنون و کذالیس بعد رفعہ من الرکوع دعاء وکذا لایاتی فی رکوعہ وسجود بغیر التسبیح علی المذھب وماورد محمول علی النفل

Durre Mukhtar me he Namazi Do Sajdo ke Darmiyan jalsa me itminan se bethe, do sajdo ke darmiyan koi zikr sunnat nahi. Usi Tarah Ruku'a se khade hone ke ba'ad qauma me koi duaa masnoon nahi. Usi Tarah Ruku'a w sujood me tasbih ke alawa koi dua na kare, sahih mazhab yahi he or jo riwayat me aaya he vo Nawafil par mahmool he.
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-76)*

Muharrar mazhab Saiyedna imam Muhammad Rahematullahi Ta'ala Alaihi Jame'a Sageer me Farmate he:
:قال ابویوسف سالت ابا حنیفۃ عن الرجل یرفع راسہ من الرکوع فی الفریضۃ ویقول اللھم اغفرلی قال یقول ربنا لک الحمد و یسکت (کذلک) بین السجدتین یسکت
Imam Abu Yusuf bayan karte he ki mene imam abu hanifa se us shakhs ke bare me puchha jo faraiz me Ruku'a ke ba'ad sar uthane ke ba'ad ye kahta he AllahummagFirli. Aap ne farmaya vo sirf 'rabbna lakal Hamd' Kahe fir khamosh ho jaye or usi tarah dono sajdo ke darmiyan jalsa me bhi khamosh rahe.
*📚(Jame'a Us Sageer, S-11, 12)*

حلیہ میں زیر قول متن ولا یزید علی ھذا (اس پر اضافہ نہ کرے ۔ت) فرمایا۔ان ارادالزیادۃ ماورد فی السنۃ فینبغی ان یکون ھذا فی حق الا مامۃ اذاخاف التثقیل علی القوم وفی حق المقتدی اذالم یفعل الامام ذلک اماالمنفرد او الامام اذاکان لایثقل علی القوم اتیانہ بذلک اوالمقتدی اذاکان امامہ قد اتی بہ فلیسوا بممنوعین من زیادتھم بہ علی ذلک ولا سیماالمنفرد فی النوافل ومن ادعی ذلک فعلیہ البیان ۱؎۔

Agar Zyadati se murad azkar he jo sunnat me warid he to ye haq imamat ke bare me hoga jabki muqtadi bojh mahsoos kare or Muqtadi ke haq me us waqt he jab imam ye na padh raha ho, raha mu'amla munfarid ya vo imam jis ke muqtadi uske padhne ko bojh mahsoos na kare ya vo Muqtadi jiska imam padh raha ho to aysi soorat me unke liye un azkar ka izafa mamnoo'a nahi, khusoosan vo munfarid jo nawafil padh raha ho or jo uska muddai ho vo us par daleel laye.
*📚(Hilyatul Muhalla Sharah Munyatul Musalla)*

Usi me do Warq baad he,

:صرح مشائخنا یحمل مافی حدیث علی رضی اﷲ تعالی عنہ علی النوافل علی انہ ثبت فی المکتوبۃ فلیکن فی حالۃ الانفراد وفی حالۃ کونہ اماما والمامومون محصورون لا یثقلون بذلک کما نصت علیہ الشافعیۃ ولا ضیر فی التزامہ
Hamare Mashaikh ne is baat ko tasreeh ki he ke hazrat Saiyedna Ali RadiAllahu Ta'ala Anhu se marwi hadees ko nawafil par mahmool kiya jayega alawa azeeñ faraiz me bhi ye sabit he to us waqt jab namazi tanha faraiz ada kar raha ho ya imamat ki halat me us waqt jab muqtadi mahsoor ho jo bojh mahsoos na kare jaisa ki Shavafe'a ne tasreef ki he or us ke intezam me koi Nuqsan nahi.
*📚(Hilyatul Muhalla Sharah Munyatul Musalla)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-6, S-169)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts