Sadqa E Fitra Ke Ahkam o Masail Tafsili

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum W Rahematullah,
Sadqa E fitr ke Ahekam, Sadqa e fitr kon de sakta he kise de sakte he, or Sadqa e Fitr kitna he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikum Assalam W Rahematullahi w Barkatuhu,

Sadqa ye tamam Musibat Aafat Ko Door Karne ka zariya he. Allah ke Rasool ﷺ ne sadqa e Fitr ada karne ki taqeed farmai, Or ek shakhs ko bheja ki Makka Ki Gali kucho me Aelan karde ki Sadqa E Fitr Wajib he. Sadqa e fitr ka Ek fayda Allah ke Rasool ﷺ ne ye irshad farmaya ki bande ka roza Aasmano Zamin Ke darmiyan  muallak raheta he ya Latakta Rahta he. Or jab vo Sadqa e Fitr ada kar deta he to Aasmano ke uper Pahuch jata he.

*➡Sadqa E Fitr Kis Par Wajib He*

Sadqa E Fitr Aadmi Par Wajib He Maal par Wajib Nahi.
Lihaza Agar Koi Shakhs Mar gaya to uske maal se ada nahi kiya Jayega, lekin agar wariseen ada kare to ye ada ho sakta he ye Jaiz he.
Sadqa e Fitr har Musalman aazad malike nisab par Jiski Nisab Hajate Asliya Se farig ho, wajib he. Iska waqt eid ke din Subah Sadiq Shuru hote hi Sadqa e Fitr wajib ho jata he. Sadqa e Fitr wajib hone ke liye Roza rakhna shart nahi, agar kisi uzr, safar, marz, burhHape ki wajah se, ya Ma'azAllah Bagair kisi Uzr ke roza na rakha jab bhi sadqa e Fitr wajib he.
Har shakhs par sadqa e fitr wajib he. Lihaza baap ki nabalig aulad ki jo malike nisab nahi unka sadqa e Fitr baap par wajib he. Or agar baap na ho to baap ki jagah par dada he, dada par uska sadqa dena wajib he. Maa par apne chhote bachho ki taraf se Sadqa dena wajib nahi.

*➡Sadqa E Fitr Kon Ada Kare*

Usi tarah kisi shakhs par apni aurat apni biwi or balig aakil aulad ka fitra uske zimma nahi he, agarche vo mohtaj ho, Apahij ho. Aurat ya ballig Aulad ka fitra bagair unki ijazat ke ada kar diya to ada ho jayega. Balig Aulad ka fita bagair unke izn, bagair unki ijazat  ada karne me shart ye he ki vo  aulad uske ayal me ho, uski parwarish me ho. Usi tariqe se kisi shakhs par uske maa baap, dada dadi, nabalig bhai, or digar rishtedaro ka fitra wajib nahi. Bagair hukm ke ada bhi nahi kar sakta.

*➡Sadqa e fitra kitna he or kin cheezo ko sadqe me diya jaye.*

Ahadise Nabviya me jo 4 cheeze mash'hoor w ma'aroof he un cheezo ko sadqe me diya jaye.
1. gehuñ ya uska aanta nisf Saa'a yaani 2 kilo 45 gram.
2. Khujoor
3. Kismish
4. Jaw
Aakhir ki 3 cheeze uska wazan 1 Saa'a yani 4 kilo 90 gram ya uske karib me he. Utna ada kiya jaye.

Ye bhi ho sakta he ki gehuñ ki jo kimat he vo bhi ada kare ya khujoor, munakke (kishmish) ya jaw ki jo wazan ke barabar jo kimat he vo ada kare.

Aulma e kiram farmate he Ki Gehuñ ya Jaw ke dene se unka aanta dena afzal he. Or aanta dene se bhi afzal ye he ki unke badle kimat dede, taaki fil faur garib, fuqra usko istemal karle. Aaj Kal 2 kilo 45 gram gehuñ ki kimat, jo aam taur par ham gharo me khate he, ya aanta uski kimat 50 rupye se 60 Rupye tak he. Or dusri cheeze khujoor, kishmish, jaw wagairah ki kimat aap Apne karibi dukano bazaro se ma'aloom kar sakte he. Wazan bata diya gaya he us wazan ka hisab nikal kar ke aap uski kimat ma'aloom kar sakte he.

Fitra ko aap Eid ki namaz se pahle bhi de sakte he or dene me ye he ki garib faqir ko de. Faqeer ko malik bana de, ya to pure ek fitre ka malik ek garib faqeer ko bana de ya fir ek fitre ke chand hisse kar ke alag alag faqeero ko malik bana de ye bhi jaiz he.
Sadqa e Fitr unko de sakte he jinko zakat de sakte he, jin ko zakat nahi de sakte unko sadqa e fitr bhi nahi de sakte.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*🎙 Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi*
*_📬 Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲8
===========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts