Chori Ke Kapde Pahan Kar Namaz Padna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ne Chori Ka Kapra Pahan Kar Namaz Parha To Kya Uski Namaz Ho Gai❓
Agar Nahi To Haram Hai Ya Makruh Tahreemi Waghairah ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Chori Ke kapde pahan kar padhi hui namaz makroohe tahrimi wajibul Ae'aada hogi.

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Chori Ka Kapda pahan kar namaz parhne me agar che farz saqit ho jayega
 لان الفساد مجاور
 (kyu ki Fasad Namaz se  bahar he) magar namaz makroohe tahrimi hogi
 للاشتمال علی المحرم
(Haram Cheez Utha e huye hone ki wajah se) Ki Jaiz kapde pahan kar us ka Ae'aada Wajib
کالصلوۃ فی الارض المغصوبۃ سواء بسواء
(Jis Tarah Magsooba(chhini hui ya gazab ki hui) Zameen Par namaz ka hukm or ye barabar he)

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-7, S-395)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts