Safed Darhi rakhna kesa ? Kya safed darhi Rakhna Yahudiyo ki nishani he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Darhi or sar ke baal safed ho jaye to kya khizab lagana zaroori he  ??
1 sahab ne safed darhi rakhne walo par aitraz kiya ki ye yahudiyo ki mushabehat he to ab unhe kya jawab diya jaaye ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Malfoozate Aala Hazrat me aala Hazrat Se sawal kiya gaya ki khizab lagana kesa ?

Aala Hazrat Alaihir Rahma ne Farmaya Burha bail sing katwale to bachhra nahi ho jayega.

Lihaza kaale khizab se bache mahendi istemal kar sakte he jaisa ki ahadis me aaya he,

Sab se achchi cheez jise se safed baalo ka rang badla jaaye mahendi or kutum he.
Lekin aysi mahendi istemal ho jo siyahi ki taraf maail na ho.

Or ye kahna ki safed darhi rakhna ye yahudyo se musabehat he sarasar galat he.

Kyu ki gair qaum se mushabehat us waqt lazim aayegi jab ye 3 baate us me paai jaye.

1. Ayai alamat ho jo gair qaum ke sath khas ho or unki qaumi alamat ho Musalmano me aam na ho.

2. Us alamat ko us qaum se Muhabbat ki wajah se Ikhtiyar ki jaye.

3. Or us qaum se mushabehat ka irada bhi rakhe.

Jab koi aysi cheez ya alamat ko ikhtiyar kare or usme ye tino baate paai jaaye tab kahege ye us gair qaum ki mushabehat he.

Ab raha darhi or sar ke baal mahendi se rangna to ye sunnato mustahabba he.

Ab agar koi nahi rangta to ye nahi kaha jayega ki Yahudio se mushabehat he.

Kyu ki safed darhi kisi qaum ki qaumi alamat nahi or na koi Musalman kisi gair qaum ki mushabehat me safed darhi rakhta he or na safed darhi rakhne me kisi qaum se mushabehat ka irada hota he.

Balki Musalman safed darhi or safed baal is liye rakhta he ki islam me safed baal ka ho jana ye insan ke allah ki bargah me waqar ki daleel he or is liye bhi rakhta he taki sunnate mustafa ada ho jaye jaisa ki sharah mishkat me he sarkar  ﷺ ki darhi mubarak me panch baal or sare aqdas me 14 baal safed the.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹JAWAB:-🌹*
Ye hadish Khizab Lagane Ke Ta'alluk se he,

Is hadish ka mafhoom ye he ki Yahudi or nasrani khizab nahi lagate to tum khizab laga kar unki mukhaleta karo.

Or kisi ka ye kahna ki Safed baal rakhna yahudyo se musabehat he to ye galat he.. or hadish ka galat ma'ana w mafhoom garhna hua, Aysa kahne wala sakht gunahgar he jald taubah kare or apne qaul se Ruju'a kare.

Us Hadish shareef Huzur  ﷺ ne khizab ke ta'alluk se mushabehat ka farmaya ki yahudi log khizab nahi lagate tum unki mushabehat na karo balki khizab laga kar unki mukhalefat karo, na ki darhi me safed baal rakhne ko Yahudio ki mushabehat farmaya.

Jaisa Ki Hadish shareef me he,

Burhhape(baalo ki safedi) ko (khizab ke zariye) badal dalo or (khizab na lagane me) yahudiyo ki mushabehat na karo.
*📚(Tirmizi Shareef, 1752)*

Ek dusri riwayat me he ki Aap   ﷺ irshad farmaya Yahudio or Nasrani khizab nahi lagate lihaza tum unke khilaf karo (yani tum khizab lagao)
*📚(Sahih Bukhari, 5899)*
*📚(Sahih Muslim، 2103)*

Safed Baal hona Musalmano ka waqar hone ki nishani he, jaisa ki Hadish Shareef me he,
Imam Malik ne Riwayat ki, Saeed bin musayyab RadiAllahu Anhu kahte the ki Hazrat Ibrahim Khalilur Rahman Alaihis Salato salam ne sab se pahle mahmano ki ziyafat ki or sabse pahle khatna kiya or sabse pahle munchh ke baal tarashe or sab se pahle safed baal dekha. Arz ki, ay rab ! Ye kya he ? Parwardigar tabarak w ta'ala ne farmaya Ay ibrahim ye waqar he. Arz ki, mere rab mera waqar zyada kar.

Ek or hadis me he,

Delmi ne anas RadiAllahu Anhu se riwayat ki, ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya jo shakhs qasdan safed baal ukhadega, qayamat ke din vo neza ho jayga, jis se us ko bhunka jayega.

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-224)*

Or Farmate he,
Safed Balo ko Ukhadna Ya kenchi se chun kar nikalwana makrooh he, haañ mujahid agar is niyat se aysa kare ki kuffar par us ka roab taari ho to jaiz he.
*📚(Aalamgiri)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-230)*

Safed Baal Hona Musalman ke liye Noor he, Or Allah Ta'ala uske badle neki likhega or uske gunah muaaf karega or uska darja baland karega.

Jaisa Ki Hadis Shareef me he,
RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki safed baalo ko mat ukhada karo, yaqinan ye qayamat ke din noor hoga, or jis shakhs ne islam ki halat me burhape ko paya, is safed baal ke badle me allah ta'ala uske liye ek neki likhega, uska ek gunah mu'aaf karega or uska ek darja baland karega.
*📚(Al-Moajamul Awsat LilTibrani, J-9, S-128)*
*📚(Musnad Ahmad J-11, S-160)*

Or ek hadis Shareef me he,
RasoolAllah ﷺ is baat ko napasand farmate the ki koi musalman apne sar or darhi ke safed baal ukhade.
*📚(Sahih Muslim, 2341)*

_Or Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Allama Manawi fir Allama azizi is hadis par tafreeh karte he
فنتفہ مکروہ وصبغہ بالسواد لغیر الجہاد حرام .
Yaani Pas Safed baal Ukhadna makrooh he or siyah khizab gair jihad me Haram.
*📚(Sirajul Muneer Sharah Jame'a us Sageer, J-2, S-352)*

Hakim kitabul kuni walAlqab me ba sanad hasan umme saleem RadiAllahu Ta'ala Anha se raawi hazrat poor noor  ﷺ farmate he,
من شاب شیبۃ فی الاسلام کانت لہ نورا مالم یغیر ھا .
Jise Islam me Sapedi aaye vo uske liye noor hogi jab tak badal na daale.
*📚(Kanzul Ummal, Hadis-17334, J-6, S-681)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-494)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts