7ve din Aqiqa Na Kar saka To Kab Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya 9ve din aqiqa kar sakte he ? Kaam ki masroofiyat ki wajah se bakra kharid na paye to..

*🌹JAWAB:-🌹*

Bachche ki wiladat ke satwe din ye teen kaam kiye jaye...
1 bachche ka naam rakhe
2 sar mundaye
3 janwar zabah kare (aqiqa kare) ye sunnat he.

Hazrate samrah RadiAllahu Anhu se riwayat RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya,
الغلام مرتھن بعقیقته یذبح عنه یوم السابع و یسمی و یحلق راسه او کما قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم

Agar satwe din na kar sake to jab chahe kar sakte he sunnat ada ho jayegi albatta ba'az aulma ne kaha 7 (satwe), 14 (chaudve), ya 21 (ekkis) din ahle ilm ka us par amal he vo mustahab samajte he ki bache ki taraf se satwe din aqiqa ka janwar zabah kiya jaye agar 7 din mayassar na ho to 14ve din agar ye bhi mayassar na ho to 21ve din aqiqa kiya jaye.

Yaani 7ve din ka lihaz rakha jaye ye bahetar he agar yaad na ho to ye kare jis din bachcha paida huva us din ko yaad rakhe us se ek din pahle wala din jav aaye vo 7va hoga maslan Jumaa ko paida huva to 7va din jume'arat hoga or sanichar ke din paida huva to jumaa 7va din hoga, pahli soorat jis me jume'arat or dusri soorat jis me jumaa ko aqiqa karega us me 7ve din ka hisab zaroor aayega.

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-15, S-357)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts