Imam QadqamatisSalat Par Namaz Shuru Kare Ya Iqamat Puri Hone Par ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Jab Mukabbir Qad Qamatis Salat Kahe Tab Imam ko Namaz Shuru'a karna Chahiye Ya Iqamat Puri Hone Par Imam ko Namaz Shuru'a Karni chahiye ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Fiqh Ki kai Kitabo Me He Ki Jab Mukabbir Qad Qamatis Salat Kahe uske zara pahle Imam ko namaz Shuru'a Karni chahiye, Lekin Bahetar ye he ki Iqamat Puri Hone par Namaz Shuru'a Kare.

_Imamul A'imma Hazrat Allama Shamsul A'imma Muhammad Bin Ahemad bin sahal  sarkhasi Alahir Rahma  Taherir Farmate he_

Agar Imam Muqtadio Ke sath masjid ke andar maujud ho to unke liye bahetar ye he ki jah Mukabbir "Hayya Alal Falah" kahe us waqt sab saf me khade ho. Fir jab " Qad Qamatis Salat" kahe to imam or Muqtadi sab takbire tahrima kahe. Ye imame aazam abu hanifa or imam Muhammad rahma Ullah ka qaul he. Or agar takbire tahrima mu'akhir kare yaha tak ki Mukabbir iqamat se farig ho jaye to ye bhi jaiz he.

Or imam abu yusuf alaihir rahma ne farmaya,
jab tak Mukabbir iqamat se farig na ho jaye us waqt tak takbire tahrima na kahe.

Or imam zafar alaihir rahma ne farmaya,
Jab Mukabbir pahli baar 'Qad Qamatis Salat' kahe ti saf bandi kare or jab dusri baar 'Qad Qamatis Salat' kahe to takbire tahrima kahe.

*📚(Al-Mabsoot Fil Sharahul Qafi, Baab iftetahus Salat, J-1, S-39)*

_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Jab Mukabbir Qad Qamatis Salat Kah ke to namaz Shuru'a kar sakta he, Magar bahetar ye he ki iqamat puri hone par shuru'a kare.
*📚(BAHARE SHARIYAT SOFTWARE, H-3, S-106)*

Agar Imam Ne Qad Qamatis Salat par Namaz Shuru'a Ki Tab Bhi Namaz Ho jayegi, magar Bahetar he ki Iqamat Puri Hone ke baad namaz shuru'a kare..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts