Qurbani Ke Pahle Baal Ya Nakhun Katna Kesa ?

https://baharemasail.blogspot.com/2019/08/qurbani-ke-pahle-baal-ya-nakhun-katna.html

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Qurbani Karne Wala 1 se 10 zilhijja me nakhun ya baal nahi tarashwa sakta ?or agar nakhun ya baal kaate to Qurbani Par Koi Asar Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jiska Qurbani Ka irada ho ya jiske Naam se Qurbani Ho usko pahli se daswi zilhijja tak nakhun ya baal na tarashwana mustahab he, ki vo pahli zilhijja ke pahle nakhun ya baal tarashva le.
Or agar kisi wajah se na tarash saka or 31 din ho gaye ho to 1 se 10 zilhijja me bhi nakhun ya baal tarashwa sakta he. Ki na tarashwana mustahab he or 40 din tak rakhna Gunah he. Or agar kisi ne in ayyam me tarashwa liye to Qurbani me Koi farq bhi na aayega. Magar bahetar he ki zilhijja ka chand dikhne se pahle Nakhun ya baal tarashwa le.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qurbani Karni ho to mustahab ye he ki pahli se daswi zilhijja tak na hajamat banwaye, na nakhun tarashwaye.
*📚(BAHARE SHARIYAT, J-4, S-134)*

_Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Ye Hukm(yane 1 se 10 zilhijja tak nakhun ya baal na tarashwana) sirf istehbabi he kare to bahetar he na kare to mazaiqa nahi, na is ko hukme adooli kah sakte he na qurbani me nuqs aane ki koi wajah, balki agar kisi shakhs ne 31 din se kisi uzr ke sabab khwañ bila uzr nakhun na tarashe ho na khat banvaya ho ki chand zilhijja ka ho gaya to vo agarche qurbani ka irada rakhta ho us mustahab par amal nahi kar sakta ab daswe tak rakhega to nakhun w khat banvaye huye ektalis(41) din ho jayega, or chalis (40) din se zyada na banwana gunah he. Fe'ale mustahab ke liye gunah nahi kar sakta.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-344)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693
*🗓️27 July 2019*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts