*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Sawal ye Hai Ki Agar Kisi Pe Gusl Farz Ho Jaye . Aur Kapdon Pe Koi Nijasat Na Lagi Ho Aur Woh Kapda Uske Paseene Se Bheeg Gaya Ho To Kya Gusl Karke Wahi Kapda Pahankar Ibadat Kar Sakta Hai ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jis Par Gusl Farz Ho Jaye To Uska Jism Aysa Napak Nahi Hota Ki Usse Koi Paak Cheez Lag Jaye To Vo Napak Thahre, Is Liye Ki Aadmi Ka Pasina Or Jhutha Paak He. Lihaza Agar Junubi (Jis Par Gusl Farz Ho Uska ) Pasina Uske Kapdo Me Lag Gaya Ya Jazb Ho Gaya To Usse Kapde Napak Nahi Hoge.
Huzur Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Farmate He,
Junub Ka Pasina Misl Uske Lu'aabe Dahan Ke Paak He.
Durre Mukhtar Me He,
فی الدر المختار سئور الآدمی مطلقا و لو جنبا او کافرا طاھر و حکم العرق کسئورا-.
Yaani Aadmi Ka Jhutha Mutlaqan Paak He Chahe Junubi Ho Ya Kafir Or Pasine Ka Hukm Jhuthe Jaisa He.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-380)*
Lihaza Jis Par Gusl Farz Ho Jaye Or Kapde Par Koi Najasat Na Lagi Ho To Gusl Karne Ke Baad Wahi Kapde Pahan Kar Ibadat Kar Sakta He, Agarche Kapde Pasine Se Pure Bhig Gaye Ho Ki Uska Junubi Ka Pasina Bhi Paak He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment