Paani Na ho to gusl ka Tayammum karke Namaz Padhna

*🌹SAWAL:-🌹*
Sawal
Zaid Subah Fazr M Uthta H To Pata Chalta H Use Gusl Ki Hazat H Jab Zaid Gusl K Liye Jata Hai To Ghar M Pani Bilkul Khatm Hai Pani Nahi H Aisi Halat M Zaid Kya Kare

Zaid Ne Gusl Ka Tayammum Karke Unhi Kapddo M Namaz Padhi
Fir Baad M Din M Namaz Dohra Li

Kya Zaid Ne Sahi Kiya Agar Nahi To Fir Kya Huqm H

Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Soorate Mas'ula me Zaid Ne Sahih Kiya, Ki Agar Waqt Itna Kam He Ki Paani Dhundhne Kahi Jayega To Fazar Ka Waqt Nikal Jayega Is Soorat Me Zaid Tayammum Ka Gusl Karle Or Fir Baad Me Gusl Karne Ke Baad Use Dohra Le. Or Agar Uske Kapdo Me Najasat Lagi thi to Kapde Badal Kar Namaz Padhe. Or Agar Kapdo Me Najasat Nahi Lagi To Harj Nahi.

Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ki Bargah Me Sawal Arz Hua Ki,
Ek Shakhs Ko Gusl Ki Hajat He Agar Vo Gusl Karta He To Fajar Ki Namaz Qaza Ho Jati He To Use Kya Karna Chahiye ?

Jiske Jawab Me Aap Farmate He,
Tayammum Karke Namaz Padh Le Or Gusl Karke Fir Ae'aada Kare.
*📚(Fatawa Razviya, J-3 S-193)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts