*🌹SAWAL:-🌹*
Aurto Ko Baalo Me Clip Lagana Kesa Or Use Laga Kar Namaz Padhna Kesa Or Jo Namaz Padhi Gai Uska Kya Hukm He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Aurte Jo Baalo Ko Ekaththa Karne Ke Liye Chhoti Clip Ya Pin Lagati He Use Lagana Jaiz He Or Use Laga Kar Namaz Padhna Bhi Durust He. Or Jo Zinat Ke Liye Bade Bade Pieces Lagaye Jate He Uski Ijazat Nahi Hona Chahiye.
Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Sone chandi Ke Alawa Dusri Dhaato Ke Zewraat Maslan Loha, Taanba, Peetal, Raang, Jasta Wagairah Aurto Ke Liye Bhi Najaizo Haram He.
Or Clip Jis Ko Aurte Apne Baalo Me Lagati He Uska Istemal Jaaiz He Ki Clip Khalis Zewar Nahi Is Ko Sirf Zinat Ke Liye Nahi Lagaya Jata Balki Uska Maqsad Baalo Ko Yakja Rakhna He, Fir Use Baalo Me Lagana, لبس Yaani Pahanna Nahi He Or لبس Hi Mamnoo'a He.
Fatawa Amjadiya Me He,
Sone Chandi Ke Batton Is Wajah Se Jaiz He Ki Malboos Nahi, Balki Tawabe'a Libas Se He, Lihaza Dusri Dhaat Ke Batton Isi Illate Mushtarka Se Jaiz He Ki Dusri Dhaato Ka Pahanna Mana'a He, Balki Unka Hukm Sone Chandi Se Akhf He Ki Sone Chandi Ka Istemal Sirf Ek Makhsoos Soorat Ke Alawa Mutlaqan Najaiz He Or Dusri Dhaate Siwa Pahanne Ke Har Tarah Istemal Kar Sakte He. Unke Bartano Me Khaa Pee Sakte He. Surma Daani, Silaai, Tel, Wagairah Ki Pyaliya, Qalam Dawaat Wagairah Tamam Ashya'a Ko Istemal Kar Sakte He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-233)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-499)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment