Dulhe Ke Hath Me Kangna Bandhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Aulmao ki bargah me Ek Sawal he ke Aaj kal Muslmano ke yaha Shadi ke Moke par Dulha or Dulhan ke hath me Ek Kagaz ka Tukda band te he Or usko Kangna Kaha Jata he or isko Badhna Jese farz ho Is trha ka Guman karte he or Usko bandhna Sagun Bata te he Or na Bandhne par Nuksan hoga ye bhi Khayal karte he
Aap logo se Gujarish he ke Rrhnumai Farmaye Iski hakikat kiya he

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mazkoora Cheez Na Farz He, Na Wajib, Na Sunnat, Balki Ye Khurafat He,Jahilana Rasmo Riwaj He, Mazhabe Islam Me Is Ki Koi Asl Nahi He.

 Huzur Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Irshad Farmate He,
Ki :-
"Rasm Ka Ae'atebar Jab Tak Kisi Fasaade Aqida Par Mushtamil Na Ho Asl Rasm Ke Hukm Me He. Yaani Agar Rasm Mahmood Ho To Mahmood, Mazmoom Ho To Mazmoom, Mubah Ho To Mubah"

Magar Ye Jo Kangna Bandhne Wali Rasm He Vo Yaqeenan Fasaade Aqida Par Mushtamil He, Or Isko Bandhne Se Ye Aqida Rakhna aur Manna Ki Bala Musibat Nahi Aayegi, Ye Bhi Galat He, Jahilo Ka Aqida He, Usi Ke Sath Sath Usko Na Bandhna Nuqsan Hone Ya Khatra Hone Ka Aeteqad Rakhna, Ye Bhi Yaqenan Fasaade Aqida Par Mushtamil He.

Or Yahañ Ki Gujrat Ki Kuchh Aurte Ye Maanti He Ki Isme Hazrate Qasim رضی اللہ تعالی عنہ  Jo Maidane Karbala Me Shaheed Huve The Unki Yaad Me Ye Kangna Bandha Jaate He, Ki Hazrate Qasim رضی اللہ تعالی عنہ Ki Shadi Bibi Sakina Jo Hazrate Imame Husain RadiAllahu Anhu Ki Sahabzadi Thi, Unke Sath Hona Tay Hua Tha, Or Hazrat Imame Qasim رضی اللہ تعالی عنہ Bagair Shadi Kiye Huve Ya Fir Shadi Hone Ke Fauran Baad Maidane Karbala Me Shaheed Ho Gaye. Unki Yaad Me Log Kangna Bandhte He.

Albatta Ye Tamam Cheeze Khurafat He, Jahilana Rasmo Riwaj He, Mazhabe Islam Me Iski Koi Asl Nahi He, Lihaza Isko Na Banhdne Me Hi Bahetari He, Or Ye Mazmoom Rasm He Isko Bandh Kar Diya Jaye.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts