*🌹JAWAB:-🌹*
Assalamualaikum
Janab Yeh Batain K Breath Kainser Ka Zakham Hai Usme Se Ganda Pani Nikalta Hai Ruk Ruk K Aur Badboo Bhi Aati Hai Aise Me Roza Ya Namaj Kaise Hogi.
Jald Se Jald Jawan Inayat Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Har Vo Shakhs Jiskko Aysi Koi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Mazooor He Uskaa Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle Or Aakhir Waqt Tak Jitni Namaze Chahe Us Wuzu Se Padhe. Us Bimari Se Uska Wuzu Nahi Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana Ya Hawa Kharij Hoona Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Fode Ya Nasoor Ss Har Waqt Ratoobat Bahna Ya Kaan Naak Ya Chhati Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariya Wuzu Todne Wali He Unme Jab Pura Ek Waqt Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Padh Saka To Ye Majboori Hogi Oe Mazoor Samjha. Jayega.
Jab Uzr Saabit Ho Gaya To Jab Tak Har Waqt Me Ek Baar Bhi Ye Cheez Paai Jaaye Mazoor Hi Rahega, Jaise Aurat Ko Ek Waqt To Istehaza Ne Taharat Ki Mohlat Di Ab Itna Mauka Milta He Ki Wuzu Karke Namaz Padhle Magar Ab Bhi Ek Aadh Baar Har Waqt Me Khun Aa Jata He To Ab Bhi Mazoor He, Yuhi Tamam Bimariyon Me. Or Jab Pura Waqt Guzar Gaya Or Khun Nahi Aaya To Ab Mazoor Na Rahi Jab Fir Kabhi Pahli Halat Paida Ho Kaye Fir Mazoor He Uske Baad Fir Agar Pura Waqt Khali Gaya To Uzr Jata Raha.
*📚(Bahare Shariyat, J-2, Istehaza Ka Bayan)*
Lihaza Soorate Mas'ula Me Aurat Ko Breath Cancer Ki Bimari Me Agar Ganda Paani Ya Khun Is Tarah Aata He Ki Farz Namaz Ke Pure Waqt Ko Is Tarah Gher Le Ki Itna Bhi Waqt Nahi Milta Ki Usme Wuzu Karke Ek Waqt Ki Namaz Padh Sake To Vo Ma'azroor He. Or Mazoor Ka Hukm Ye He Ki Har Namaz Ke Waqt Ke Liye Taza Wuzu Karle Or Us Waqt Me Jitni Namaz Chahe Padhe.
Raha Roze Ka Hukm To Is Marz Me Roza Rakh Sakti He Koi Khas Diqqat Na Honi Chahiye Warna Rukhsat Hogi, Or Itne Ki Qaza Karegi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment