Roza Me Haiz Aa Jaye To Roza Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat. 

Agar Halate Roza Me Haiz Aye To Roza Mukkammal Karna Hoga Ya Todna Hoga.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roza Ki Halat Me Aurat Ko Haiz Ya Nifaas Aa Gaya To Roza Tut Gaya Baad Me Uski Qaza Kare Agar Roza Farz Tha To Qaza Farz He, Or Nafl Tha To Qaza Wajib.
*📚(Fatawa Aalamgiri J-1, S-207, Kitabus Som)*
*📚(Roza Ke Zaroori Masail, S-82)*

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,
Aurat Ko Jab Haiz W Nifas Aa Gaya To Roza Jata Raha.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-139)*

Lihaza Roza Me Jis Waqt Haiz Aaya Usi Waqt Roza Tut Gaya, Vo Gair Roze Daar Ki Tarah Khaa Pee Sakti He Magar Bahetar He Logo Ke Samne Na Khaye Chhup Kar Khaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts