*🌹SAWAL:-🌹*
Islami Behne Kya Aiteqaf Ki Halat M Ghar Ke Kaam Kar Sakti Hai Jab Ke Koi Qaid Na Ho ..
*🌹JAWAB:-🌹*
Aurato Ka Aitekaaf Apne Gharo Me He. Ghar Me Umooman Jis Jagah Namaz Ada Ki Jaati He Wahañ Aurte Aitekaaf Kare Or Agar Koi Muqarrara Jagah Nahi. To Ghar Me Kisi Ek Jagah Ko Muqarrar Karke Wahañ Aitekaaf Kare. Jise Masjide Bayt Bhi Kahte He.
Bahare Shariyat Me He,
Aurat Ne Masjide Bayt Me Aitekaaf Wajib Ya Masnoon Kiya To Bagair Azr Wahañ Se Nahi Nikal Sakti, Agar Wahañ Se Nikli Agarche Ghar Hi Me Rahi Aitekaaf Jata Raha.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Aitekaaf Ka Bayan)*
Aitekaaf Karne Wali Aurat Ko Aitekaaf Me Beth Kar Ghar Ke Kaam Kaaj Karne Ki Ijazat Nahi Balki Ghar Ka Kaam Beti Ya Kisi Or Ko Karna Chahiye Or Aitekaaf Karne Wali Aurat Ko Apni Ibadat Gaah Par Rahna Chahiye Albatta Agar Koi Ghar Me Khana Pakane Wala Na Ho To Aitekaaf Waali Aurat Ko Jald Az Jald Khana Tayyar Kaar Lene Ki Ijazat He.
*📚(Aitekaaf Ka Bayan, Safha-29)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 May 2020, 20 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91848
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment