Aitekaaf Me Bagair Gusl Farz Huve Gusl Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamuallaikum

Hazrat 1 Sawal Hai 
Sunnat Aiteqaf Main Sirf Yuhi Gusl Karna Jaiz Hai Ya Nahi(agr Wajib Na Ho) ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Gusl Khana Fana E Masjid Me He, To Bagair Gusl Wajib Huve Garmi W Taro Taazgi Ke Liye Gusl Kar Sakta He.  

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Fana E Masjid Jo Jagah Masjid Se Bahar Usse Mulhiq Zarooriyate Masjid Ke Liye He Maslan Juta Utarne Ki Jagah Or Gusl Khana Wagairah Unme Jaane Se Aitekaf Nahi Tutega.... Fana E Masjid Is Muaamla Me Masjid Ke Hukm Me He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-399)*

Or Agar Gusl Khana Masjid Ke Bahar He To Bagair Gusl Wajib Huve Sirf Taro Taazgi Ke Liye Gusl Karne Jane Se Aitekaf Toot Jayega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️14 May 2020, 20 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts