Aulma Ke Naam Ke Sath Qibla Lafz Lagana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹* 
Assalamualaikum
Ek Ka Sawal Hai Bahut Sare Ulama Ko Log Naam Ke Sath Qibla Kehte Hai Iska Kya Matlab Hai Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
 وعلیکم السلام و رحمۃاللہ وبرکاتہ

Qiblah Ka Ek Maana Hai Kaabah Wo Simt Jidhar Musalman Munh Kar Ke Namaz Padhate Hain,
Aur Dusra Maana Hai Yeh Lafz Kalmaye Taazim Hai
Hazarat Aur Janab Ke Maane Me Bhi Aata Hai,
Isi Tarah Lafze Qiblah Wa Kaabah Bhi Kalmaye Taazim Wa Takrim Hai
*📚(Firoozul Loogat Safah 511)*

Ulama, Peer, Ustaz, Ya Kisi Badi Shakhsiyat Ke Naam Ke Sath Jo Qiblah Ka Kaha Ya Likha Jata Hai Wah Hazrat Aur Janab Ke Maane Me Hota Hai.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️9 May 2020, 15 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts