Aurat Ko Aitekaaf Me Ghar Ke Bahar Baytul Khala Jana Kesa

Aurat Ko Aitekaaf Me Ghar Ke Bahar Baytul Khala Jana Kesa 

*🌹SAWAL:-🌹*
Aurat Aitekaaf Me Bethe Or Baitul Khala Ghar Se Alag Ho To Kya Kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Apne Ghar Ke Bahar Istenja Khana He, Ghar Me Nahiñ He To Wahañ Tak Jaa Sakti He.

Bahare Shariyat Me He,
Qaza E Hajat Ko Gaya To Taharat Karke Fauran Chala Aaye Thaharne Ki Ijazat Nahiñ Or Agar Mu'atakif Ka Makan Masjid Se Door He Or Uske Dost Ka Makan Qareeb To Ye Zaroor Nahiñ Ki Dost Ke Yaha Qaza E Hajta Ko Jaye, Balki Apne Makan Par Bhi Jaa Sakta He Or Agar Uske Khud Do Makan He Ek Nazdik Dusra Door To Nazdik Wale Makan Me Jaye Ki Ba'az Mashaaikh Farmate Hai Door Wale Me Jayega To Aitekaaf Fasid Ho Jayega.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Aitekaaf Ka Bayan)*
Wallahu Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️14 May 2020, 20 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts