*🌹SAWAL:-🌹*
Farz Namaz ki jamat ek jagah par ek sath do imam. Kar sakte he ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ek Masjid Me Ek Hi Waqt Me Farz Namaz Ki Do Jama'at Qasdan Karna Bila Wajhe Sharai Najaizo Mamnoo'a He, Or Aysi Tafreeq Saraahatan Bid'ate Saiyyah Shaniaa He, Magar Namaz Ho Jayegi.
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Ek Masjid Me Ek Farz Ki Do Jama'ate Ek Sath Qasdan Karna Bila Wajhe Sharai Najaiz W Mamnoo'a He Lekin Ek Jama'at Hanfiya Ki Imam Hanfi Ke Pichhe Ho Or Dusri Shafaiya Ya Maalikiya Ya Hambaliya Ki Apne Ham Mazhab Imam Ke Pichhe Ho Us Me Harj Nahi Jis Tarah Harmain Shareefain Me Ma'amool He Ki Ye Wajhe Sharai Se He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-7, S-199)*
Or Farmate He,
Adame Jawaaz Ba Ma'ana Gunah To Jamee'a Faraiz Me He Soorate Sawal Se Zahir Ki Dida W Danista Do Jama'ate Bil Qasd Is Tarah (bich Me Parda Daal Kar Parde Ke Dono Etraf) Ki Or Kisi Farz Ki Do Jama'ate Ek Masjid Ek Waqt Me Bilqasd Qaaim Karna Hargiz Jaiz Nahi, Dono Fareeq Ya Laaqul Dono Me Se Ek Zaroor Gunahgar Hova Ki Jama'ate Faraiz Ki Aysi Tafreeq Saraahatan Bid'ate Saiyyah Shaniaa He, Agar Dono Imam Me Sirf Ek Saleh Imamat Bila Karahat He, Maslan Dusra Fasiqe Mu'allin Ya Bad Mazhab He Jab To Karahat Sirf Us Dusre Par He, Or Agar Dono Saleh To Jis Ki Niyat Pahle Bandh Gai Us Par Ilzam Nahi Dusre Par He, Or Ma'am (ek Sath) Bandhi To Dono Par. Or Jumuah Me To Jawaz Ba Ma'ana Sehat Hi Nahi Kam Se Kam (dono Me Se) Ek Fareeq Ka Jumuah Sare Se Ada Hi Na Hoga.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-8, S-320)*
Haañ Ek Jama'at Ke Khatm Hone Par Us Farz Ki Dubara Jama'at Kar Sakte He, Magar Is Tarah Ki
Jis Tariqe Par Pahli Jama'at Yaani Mukarrar Imam Ne Bich Maherab Me Jis Jagah Par Padhai Us Jagah Par Dusra Imam Wahi Namaz Azan Or Iqamat Ke Sath Qaaim Nahi Kar Sakta, Tagyere Hayate Ula Yaani Jab Dusra Imam Dusri Jama'at Karaye To Fir Dubara Azan Na De Sirf Iqamat Kah Le, Or Iqamat Ke Sath Namaz Padhaye Or Jahañ Par Pahli Jama'at Qaaim Hui Us Jagah Ko Chhod Kar Dusri Jagah Par Jama'at Qaaim Kare To Is Tariqe Se Jama'at Qaaim Ho Sakti He.
Jaisa Ki *📚(Bahare Shariyat, H-3, Jama'at Ka Bayan)* Me He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️29 April 2020, 5 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•*🌹SAWAL:-🌹*

📲+91848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment