*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Aap Hazraat Ki Barhgah Me Aik Suwal He
Ki Agar Koi Shaks Kisi Ger Muslim Ko Zakat Deta He To Kya Uski Zakaat Adaa Ho Jayegi Aur Agar Jaan Buj Kar Zakat Deta He To Uska Sharai Hukm Kya He Uski Zakat Ada Hogi Ya Nahi Ya Zakat Dena Haram He
Jawab Inayat Farmaye Hawale Ke Sath Taki Isko Har Bhasha Me Likh Kar Logo Ko Aagah Kiya Jaye
Badi Maherbani Hogi
*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام و رحمۃاللہ وبرکاتہ
Gair Muslim Ko Zakat Dene Se Zakat Ada Na Hogi Gair Muslim Ko Zakat Dena Haram.
Aala Hazarat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddis Barailawi علیہ الرحمۃ والرضوان
Kafir Mushrik Wahabi Rafazi Qadiyani Wagairah Ko Zakat Dene Ke Muatalliq Taherir Farmate Hain Ki,
Un Ko Zakat Dena Haram Aur Un Ko Zakat Dene Se Ada Na Hogi.
*📚 Fatawa Razawiyah, J-4, S-491*
*📚Fatawa Faqihe Millat Jild-1 Safah-315*
Aur Aysa Hi *📚Bahare Shariyat Hissa 4 Zakat Ke Bayan* Me Durre Mukhtar Ke Hawale Se He,
*📚Durre Mukhtar, Kitabuz Zakat, J-3, S-356*
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️5 May 2020, 11 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment