*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum, Ke Gusul Karne Ke Baad Nmaz Ada Kar Sakte Hain Kya Bina Wazu Kiye??.....
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Mukammal Gusl Kar Lene Ke Baad Namaz Ke Liye Dubara Wuzu Karne Ki Zaroorat Nahi, Agarche Barahna Ho, Is Liye Ki Gusl Karne Se Vo Sabhi Aa'za Bhi Dhul Jayege Jiska Wuzu Me Dhona Zaroori Hota He, Balki Agar Sunnat Tariqa Se Gusl Kiya To Usme Pahle Wuzu Bhi Ho Jayega To Baad Me Uska Dobara Wuzu Karna Zaroori Nahi.
Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Gus Ke Baad Namaz Ke Liye Dobara Wuzu Karne Ki Zaaroorat Nahi Jab Ki Baade Gusl Koi Hadas Laahiq Na Huva Ho.
Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
Ummul Mu'amineen Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Gusl Ke Baad Wuzu Nahi Farmate.
*📚(Mishkat, Baabul Gusl, S-48)*
*📚(Fatawwa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-101)*
Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,
Ummul Mu'amineen Siddiqa RadiAllahu Anha Se Riwayat Ki, Farmati Hai Ki, Nabi ﷺ Gusl Ke Baad Wuzu Nahi Farmate.
*📚 (Jame'a Tirmizi, Hadees-107, J-1, S-161)*
*📚(Bahare Shariyat, H-2, S-313)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment