*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum,
Hazrat Ek Sawal Hai Iftaar Ke Waqt Bahut Sare Masjid Mein Time Ke Hisab Se Sairan Ya Dua Nahi Bolte Hai Ek Ka Kehna Hai Iftari 2 Ya 3mints Baad Bhi Kholi Jati Hai Pehle Masjid Mein Bolye Phir Iftaar Karna
Kya Humko Sairan Ya Masjid Mein Jab Tak Nahi Bolte Humko Wait Karna Hai Bahawala Jawab Inayat Farmai Meherbani Hogi Hazrat
Walykumasslam,
Gurub Aaftab Ka Yaqeen Ho Jaye To Fouran Roza Iftar Kar Le Kisi Siren Ya Elaan Ki Zarurat Nahi.
Bahare Shariyat Me He,
Iftar Me Jaldi Karna Mustahab He, Magar Iftar Us Waqt Kare Ki Guroob Ka Galib Guman Ho, Jab Tak Guman Galib Na Ho Iftar Na Kare, Agarche Mu'azzin Ne Azan Kah Di He Or Abar Ke Dino Me Iftar Me Jaldi Na Chahiye
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-5, Roze Ka Byaan)*
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️3 May 2020, 9 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment