Lockdown Me Chhutiyo Ki Mudarriseen Ko Tankhwañ Dena

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Sawal Madarsa Me Ramzan Ul Mubarak Me Maulana Sahab Ko Tankha Dabal2 Di Jaati Hai

Aur Abhi Corona Ke Mutabik Kya Maulana Sahab Ko Tankha De Sakte Hain Dabal 2
Rehnumaye  Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Mudarris Sahab Ko Jitni Tankhwañ Ramzanul Mubarak Me Dete He Utni Tankhwañ Abhi Lockdown Ki Wajah Se Bhi Ramzanul Mubarak Me Di Jaye Is  Chhuti Ki Wajah Se Unki Tankhwañ Ko Na Dena Ya Kam Dena Jaiz Nahi, Kyuñ Ki Ye Chhuti Khud Mudarris Ne Nahi Li Balki Hukumat Ki Taraf Se He.

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Chhuti Ke Dino Me Agarche Mudarriseen Se Kaam Nahi Liya Jata Magar Vo In Dino Ki Tankhwañ Paane Ke Mustahik He.

Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Mudarriseen W Amsaalahum Ajeere Khas Hai. Or Ajeere Khas Par Waqte Muqarrara Ma'ahuda Me Tasleeme Nafs Laazim He Or Usi Se Vo Ujrat Ka Mustahiq Hota He Agarche Kaam Na Ho. Jis Qadar Tasleeme Nafs Me Kami Hogi Utni Tankhwañ Waza'a Hogi. Ma'amuly Ta'atileñ Maslan Jumuah, Eidain Or Ramzanul Mubarak Is Hukm Se Alag He Ki In Ayyam Me Be Tasleeme Nafs Bhi Mustahiqe Tankhwañ He.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-170)*

Or *📚Durre Mukhtar Ma'a Shami, J-8, S-69* Me He,
الاجیرالخاص ویسمی اجیروحد وھومن یعمل لواحد عملا موقتا بالتخصیص ویستحق الاجیر بتسلیم نفسه فی المدة وان لم یعمل کمن استؤجر شھرا للخدمة ۔اھ

Or *📚Raddul Muhtar, J-4, S-372* Me He,
حیث کانت البطالة معروفة فی یوم الثلاثا والجمعه وفی رمضان والعیدین یحل الاخذ۔
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-230)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,
Ta'atilate Ma'ahuda (Yaani Mukarrara Chhutiyo) Me Misl Ta'atteel Maahe Mubarak Ramzan W Eidain Wagairah Ki Tankhwañ Mudarriseen Ko Beshak Di Jayegi.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-19, S-437)*

Lihaza Trusty Hazraat Par Laazim He Ki Lockdown Ki Chhutiyo Ki Tankhwañ Mudarriseen Ko Ada Kare Jese Har Saal Double Tankhwa Dete He To Is Saal Lockdown Me Bhi Double Hi Denge, Kyuñ Ki Mudarriseen Ne Apni Marzi Se Chhuti Nahi Li, Balki Ye Hukumate Hind Ki Janib Se Chhuti He Agar Hukumat Ki Taraf Se Chhuti Na Hoti To Mudarriseen Zaroor Hazri Dete.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
 *_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️4 May 2020, 10 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts