Madarse Ke Talibe Ilm Ko Zakat Dena Kesa?
*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Madarse Ke Talibe Ilm Ko Zakaat Ya Fitre Ki Raqam De Sakte Hai Jab Ki Uske Maañ Baap Gaanv Me Khud Sahib E Nisaab Ho.
Haañ, Talib E Ilm Ko Zakat Our Fitra Ki Raqam De Sakte He Jab Ke Usne Apne Aap Ko Isi Kaam Ke Liye Farig Kar Rakkha Ho Our AgarChe Wo Kamaane Par Qudrat Rakhta Ho Our AgarChe Uske Waliden Maalik E Nisab Ho.
Bahare Shariyat Me He,
Talibe Ilm Ke Ilme Deen Padhta Ya Padhna Chahta He, Use De Sakte Hai Ki Ye Bhi Raahe Khuda Me Dena He Balki Talibe Ilm Sawal Karke Bhi Maale Zakat Le Sakta He, Jab Ki Usne Apne Aap Ko Isi Kaam Ke Liye Farig Kar Rakha Ho Agarche Kasab Par Qadir Ho.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-5, Maale Zakaat Kin Logoñ Par Sarf Kiya Jaye, Mas'ala-14)*
Wallahu Ta'ala Aalam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️26 May 2020, 2 Shawwal 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment