*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Agar Mazi Ki Miqdar
Ek Sui Barabar Ho Aur Kayi Baar Agar Ek Katre Se Kam Lekin Nazar Aane Ki Haalat Me Ho Aur Baar Baar Wasawis Aur Gair Itminaani E Qalb K Surat Me Aisa Lage K Mazi Kharij Huyi To Ab B Kya Us Kapde K Hisse Ko Aur Us Aaza Ko Dhona Farz Hai Ya Na Dhoya To Paki Baki Rahegi?
*🌹JAWAB:-🌹*
Mazi Najasate Galeeza Me Se He,
Najasat Galiza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Me Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye To Uska Paak Karna Farz Hai, Be Paak Kiye Namaz Padhli To Hogi Hi Nahi Or Qasdan Padhi To Gunah Bhi Huva Or Agar Ba Niyyate Istekhfaaaf He To Kufr Huva.
Or Agar Ek Dirham Ke Barabar Hai To Paak Karna Wajib Hai,
Bagair Paak Kiye Namaz Padhi To Makruhe Tehrimi Hui Yani Aisi Namaz Ka Ae'aada Wajib He Or Qasdan Padhi To Gunahgar Bhi Huva.
Agar Ek Dirham Se Kam Hai To Paak Karna Sunnat Hai, Bagair Paak Kiye Namaz Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui Or Uska Ae'aada Bahtar He.
Agar Najasat Patli Ho, Jaise Aadmi Ka Peshab Or Sharab (Mazi) To Dirham Se Murad Uski Lambai Chodai He Or Shariyat Ne Uski Miqdaar Hatheli Ki Gehrai Ke Barabar Batai Yaani Hatheli Khub Fela Kar Hamwaar Rakhe Or Us Par Aahista Se Itna Paani Daale Ki Us Se Zyada Paani Na Ruk Sake, Ab Paani Ka Jitna Failav He Utna Bada Dirham Samjha Jaye Or Uski Miqdaar Taqreeban Yahañ Ke Rupe Ke Barabar He.
*📚 Makhuz:(Bahare Shariyat, H-2, Najasato Ke Muta'alliq Ahkam)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment