*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hazrat Hamara Ek Dost Hai Wo Kisi Dukan Mein Kaam Karta Hai Wo Dukan Mein Zyada Kaam Rehta Hai To Usko Roza Rakhne Mein Prblm Hoti Hai Ke Wo Kaam Karte Karte Sust Hojata Hai Kya Wo Roza Nahi Rakhega To Gunahgar Hoga Meherbani Hogi Jawab Inayat Farmai
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Roza Islam Ke Arkaan Me Se Ek Aham Rukn He, Bila Wajhe Sharai Usko Chhodna Najaizo Gunah He, Or Nokri Karna Ya Mazdoori Karna Koi Aysa Uzr Nahi Ki Ramzanul Mubarak Ka Roza Hi Chhod Diya Jaye Balki Hukm Ye He Ki Roza Rakh Kar Kaam Kiya Jaye Or Agar Kaam Ki Wajah Se Roza Rakhne Me Dushwari Aati He To Kaam Ki Miqdar Kam Kar Leni Chahiye.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Ramzan Ke Dino Me Aysa Kaam Karna Jaaiz Nahi, Jis Se Aysa Zaeef Aa Jaye Ki Roza Todne Ka Zanne Galiib Ho. Lihaza Naanbaai Ko Chahiye Ke Duphar Tak Roti Pakaye Fir Baaqi Din Me Aaram Kare. Yahi Hukm Muamaar W Mazdoor Or Mashqat Ke Kaam Karne Walo Ka He Ki Zyada Zaeefi Ka Andesha Ho To Kaam Me Kami Kar De Ki Roze Ada Kar Sake.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roze Ke Makroohat Ka Bayan)*
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️6 May 2020, 12 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment