Tarawih Me Quraan Dekh Kar Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Suwal:- Assalamualaikum Taraweeh  me quran shareef dekh kar padna kaisa hai? 
Kuch log kehte hain ke us zamane me ghulaam quran dekh kar padte hain jiska zikr riwayato me aaya hai.. 
Wazahath kardein ..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tarawih Ya Kisi Bhi Namaz Me Qura'an Shareef Dekh Kar Namaz Padhna Mutlaqan Mufside Namaz He Yaani Namaz Hogi Hi Nahi.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Namaz Me Mas'haf Shareef Se Dekh Kar Qura'an Padhna Mutlaqan Mufside Namaz He, Yuñhhi Agar Maherab Wagairah Me Likha Ho Use Dekh Kar Padhna Bhi Mufsid He, Haañ Agar Yaad Par Padhta Ho Mas'haf Ya Maherab Par Faqat Nazar He, To Harj Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-3, S-177)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts