Tijarat Ka Maal Kitna He Maloom Na Ho To Zakat Kese Ada Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Zakat Ka Ek Masla Ye Hai Ki, Maal E Tijarat Kis Tarah Hisab Lagae?
Khudra Vyapari Hain, Kitna Maal Rakha Hua H Iska Ilm Nahi Or Na Hi Iska Hisab Lagaya Ja Sakta H, Kitna Khareeda Or Kitna Becha Iska Bhi Hisab Nahi Hai, Is Soorat Me Kis Tarah Zakat Nikal Sakte Hain.

*🌹JAWAB:-🌹*
Surate Mazkura Me Vyapari Apne Maal Ka Etna Hisab Andaze Se Lagaye K Use Galibe Guman Ya Yaqin Ho Jaye K Is Se Kam Nahi Hoga ..ha Ziyada Ho Sakta Hai ..to Jo Zakat Ke Barabar Hoga Vo Zakat me  Shumar Hoga Aur Ziyada To Vo Zaye Nahi Hoga Apne Rab Tala Ke Yaha Zakhira Aur Savab Payega ..
Aisa Hi *📚Fatawa Razviya Sharif* Me Hai 
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️29 April 2020, 5 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts