*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamo Alaikum....
Hazrat Agar Qabristaan Me Faldaar Darakht Hai To Uska Fal Khana Kaisa Hai❓
Rahnumayi Farmaye...
Jazakallahokhair...
*🌹JAWAB:-🌹*
Qabrastan Me Kisi Ne Darakht Lagaya To Yahi Shakhs Un Darakhto Ka Malik He, Uski Ijazat Ke Bagair Dusro Ko Usme Se Phal Lena Jaiz Nahi, Agar Vo Ijazat De To Le Sakta He. Or Agar Darakht Apne Aap Qudrati Ug Aaya Ya Darakht Lagane Wale Ka Pata Na Ho Ki Kisne Lagaya He To Ye Qabrastan Ki Milk Me Hoga, Usme Se Bhi Phal Khana Jaiz Nahi, Haañ Qazi Bech Kar Uski Qimat Qabrastan Ki Durustagi Me Sarf Kar Sakta He.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Qabrastan Me Kisi Ne Darakht Lagaye To Yahi Shakhhs Un Darakhto Ka Malik He Or Darakht Khud Roo (Qudrati Paida Huve) He Ya Maloom Nahi Kis Ne Lagaye To Qabrastan Ke Qarar Paayege Yaani Qaazi Ke Hukm Se Bech Kar Usi Qabrastan Ki Durustagi Me Sarf Kiya Jaye.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-10, S-100)*
Isi Tarah *📚(Fatawa Razviya, J-9, S-405) Par Bhi He
Isi Tarah Fatawa Razviya Me He,
Qabrastan Agarche Waqaf Ho Magar Darakht Jo Usme Lagaye Jaye Agar Lagane Wala Tasreehan Ye Keh Bhi De Ki Mene Inko Qabrastan Par Waqaf Kiya Jab Bhi Waqaf Na Hoge Or Lagane Wale Hi Ki Milk Rahe Ge, Uski Ijazat Ke Bagair Dusro Ko Unme Tasaruf Jaiz Nahi, Or Usko Ikhtiyar He Ki Uski Lakdi Kaate Ya Jo Chahe Kare Balki Agar Inke Sabab Maqaabir Par Zameen Tang Karde To Use Majboor Kiya Jayega Ki Darakht Kaat Kar Zameen Khali Karde. Aysa Hi Fatawa Hindiya Wagairah Me Maujud He.
*📚(Fatawa Razviya, J-16, S-157)*
Mazeed Tafsil *📚(Fatawa Razviya, J-20, S-541)* Par Bhi Mulaheza Farmaye
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓2 June 2020, 9 Shawwal 1441*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment