*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hadrat Kon Si Dorud Paak
حضور سرکارِ دوعالم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم
Pe Padhna Behtar Hai Aor Choti Ho Jo Ki Asani Se Tasbih Pe Padhi Ja Sake
Baraye Meharbani Rahenumayi Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sabse Afzal Durood Shareef To Vo He Jo Namaz Me Muqarrar Kiya Gaya, Aap Is Durood Shareef Ko Chalte Firt, Uthte Bethte Padh Sakte He, Jahañ Par Najasat Na Padi Ho. Sabse Chhota Durood Shareef ﷺ (sallallahu Alaihi W Sallam) Ye Bahut Hi Aasan, Sabke Liye Fayda Mand Or Tasbeeh Wagairah Me Padhne Ke Liye Bahetareen Durood Shareefo Me Se Ek He, "sallallahu Alaihi W Sallam" Or Bhi Bahut Sare Durood Shareef He Ki Jumuah Ke Deen, Jumuah Ki Namaz Ke Baad 100 Martaba Madina Shareef Ki Taraf Muh Karke Duroode Razviya Padhna Buzurgane Deen Ka Tariqa E Kaar Bhi Raha He, Or Uski Bahut Si Fazilate Bhi Hamare Buzurgane Deen Ne Bayan Farmai, To "sallallahu Alaihi W Sallam" Bhi Padhe, Duroode Ibrahim Bhi Padhe, Duroode Razviya Bhi Padhe, Jo Bhi Aap Ko Mayassar Ho Jo Bhi Aapke Liye Aasan Ho, Usko Padhte Rahe.
Aysa Hi *📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-6, S-183)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️14 June 2020, 21 Shawwal 1441*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment