Kafir Ka Bachcha Jannat Me Jayega Ya Jahannum Me ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum,
Ek Bhai Ne Ye Sawal Pucha Hai👇🏻

Agar Koi Non Muslim NaBalig Bachcha Mara, To Us Ka Kya Banega, Q K Us Ko Abhi Mazhab Ki Samjh Nahi Hai Kya Wo Jahannum Mai Jayega Us Ka Hashr Kafiro K Sath Hoga?????

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Fatawa Faqihe Millat Me Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me He,
Kafir Ke Na-balig Bachchoñ Ke Jannati W Jahannami Hone Me Aulma E Kiram Ke Darmiyan Ikhtelaf He, Ba'az Kahte Hai Vo Jannati Hai Or Ba'az Ke Nazdeek Jahannami. Or Isi Ikhtelaf Ki Buniyad Par Imame Aazam Abu Haneefah RadiAllahu Anhu Ne Khamoshi Ikhtiyar Ki He Or Un Ke Sawab W Azab Ke Bare Me Koi Raaye Qaaim Nahiñ Ki,

Jaisa Ki Raisul Muhaddiseen Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Alaihir Rahma Ki Kitab *📚Takmeelul Eiman Urdu Safha-27* Me He Ki,

Mushrikeen Ke  Atfaal Ke Muta'alliq Imame Aazam Abu Haneefah RadiAllahu Anhu Ne Tauquf Kiya Or Unhone Dalaail Me Ta'aarruz Ki Wajah Se Khamoshi Ikhtiyar Ki He Or Unke Sawab W Azaab Ke Muta'alliq Bhi Koi Wazeh Raaye Qaaim Nahi Ki,

Lekin Ba'az Aulma Ka Khayal He Ki Ayse Bachche Dozakh Me Jayeñge Or Ba'az Kahte Hai Ki Bahshat Me.  Muhammad Bin Alhusain Farmate Hai Ki, Mujhe Yaqeen He Ki Allah Ta'ala Kisi Ko Be Gunah Azaab Nahi Karta Is Liye Ye Bachche Mas'oola Nahi Hoñge.

Lihaza Zaid W Bakar Par Lazim He Ki Is Mas'ala Me Hargiz Na Uljhe Or Imame Aazam Alaihir Rahma Ki Pairvi Karte Huve Khamoshi Ikhtiyar Kareñ Warna Bahre Ameeq Me Apne Aap Ko Daalne Ke Mutradif Hoñge.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-32)*

Lihaza Hamare Aaqa Imame Aazam Abu Haneefah Alaihir Rahma Ki Pairvi Karte Huve Is Mas'ala Me Khamoshi Ikhtiyar Ki Jaye. Aakhirat Me Uske Sath Kya Muaamla Hoga Khuda Hi Bahetar Janta He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓11 July 2020, 19 Zilqad 1441*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts