Kya Bewa Aurat Par Qurbani Wajib He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Koi Bewa Aurat Hai To Uske Upar Kya Qurbaani  Wajib Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
Qurbani Wajib Hone Ki Jo Sharteñ Hai Agar Vo Us Bewa Aurat Me Paai Jati Hai To Us Par Bhi Qurbani Wajib He.

Bahare Shariyat Me Qurbani Wajib Hone Ke Sharaait Ye Hai,
1. Islam, Yaani Gair Muslim Par Qurbani Nahi.

2. Iqaamat, Yaani Muqeem Hona, Musafir Par Wajib Nahi.

3. Tawangari, Yaani Malike Nisab Hona Yahañ Maaldar Se Murad Wahi He Jis Se Sadqa E Fitr Wajib Hota He Vo Murad Nahi Jis Se Zakat Wajib Hoti He.

4. Huriyat, Yaani Aazad Hona Jo Aazad Na Ho Us Par Qurbani Wajib Nahi Ki Gulam Ke Paas Maal Hi Nahi Lihaza Ibadate Maaliya Us Par Wajib Nahi.

Mard Hona Iske Liye Shart Nahi. Auratoñ Par Wajib Hoti He Jis Tarah Mardoñ Par Wajib Hoti He.

Iske Liye Buloog Shart He Ya Nahi Isme Ikhtelaf He Or Nabalig Par Wajib He To Aaya Khud Uske Maal Se Qurbani Ki Jaayegi Ya Uska Baap Apne Maal Se Qurbani Karega. Zahirur Riwayah Ye he Ki Na Khud Nabalig Par Wajib He Or Na Uski Taraf Se Uske Baap Par Wajib He Or Isi Par Fatwa He.
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Qurbani Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️18 July 2020, 26 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts