Masjid Me Namaze Janaza Padhna Kesa?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Masjid Me Namaze Janaza Padna Kisa He Tafseel Ke Sath Jawab Inyat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masjid Me Namaze Janaza Padhna Makroohe Tahrimi, Najaaizo Gunah He.

Hidaya Me He,
لایصلی علٰی میت فی مسجدجماعۃ لقول النبی صلی اللہ تعالی علیہ وسلم من صلی علٰی جنازۃ فی المسجد فلااجرلہ ولانہ بنی لاداء المکتوب ولانہ یحتمل تلویث المسجد و فیہا اذاکان المیت خارج المسجد اختلف المشائخ
Yaani Masjide Jama'at Me Kisi Mayyat Ki Namaze Janaza Na Padhi Jayegi Is Liye Ki Nabi  ﷺ Ka Irshad He: Jisne Masjid Me Namaze Janaza Padhi Uske Liye Ajr Nahi. Or Is Liye Ki Masjid Farz Namazoñ Ki Adaayegi Ke Liye Bani He. Or Is Liye Isme Masjid Ki Aaloodgi Ka Ehtemaal He. Or Hidaya Me He: Jab Mayyat Masjid Ke Bahar Ho To Isme Mashaaikh Ka Ikhtelaf He.
*📚(Hidaya Fasl Fees Salaat Alal Mayyat, Matbooah Maktabul Arbiyah Karachi, J-1, S-161)*
Ba Hawala: *📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-9, S-258)*

Or Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma Ek Jagah Irshad Farmate Hai,

Janaza Masjid Me Rakh Kar Us Par Namaz Mazhabe Hanfi Me Makroohe Tahreemi He,

Tanweerul Absaar Me He,
کرھت تحریما فی مسجد جماعۃ ھی فیہ واختلف فی الخارجۃ والمختارالکراھۃ
Masjide Jama'at Me Namaze Janaza Makroohe Tahrimi He Jab Ki Janaza Masjid Ke Andar Ho, Or Agar Bahar He To Is Baare Me Ikhtelaf He, Mukhtar Ye He Makrooh He.
*📚(Durre Mukhtar Baab Salaatul Janaaiz, Matbooah Matba E Mujtabaai Dehli, J-1, S-123)*

Namaze Janaza Bahut Halki Or Jald Hone Wali Cheez He Itni Der Dhoop Ki Takleef Aysi Nahi Ki Uske Liye Makroohe Tahreemi Gawara Kiya Jaye Or Masjid Ki Behurmati Rawa Rakheñ. Rahi Namaz, Vo Ada Ho Jayegi, Farz Utar Jayega Or Mukhalifate Hukm Ka Gunah Or Nafse Namaz Ka Sawab Allah Azwajal Ke Haath, Jaise Koi Magsoob Zameen Me Namaze Panjgana Padhe.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-9, S-259)*

Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Masjid Me Namaze Janaza Mutlaqan Makroohe Tahreemi He, Khwañ Mayyat Masjid Ke Andar Ho Ya Bahar, Sab Namazi Masjid Me Hoñ Ya Ba'az, Ki Hadees Me Namaze Janaza Masjid Me Padhne Ki Mumane'at Aai.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-4, S-190)*

Lihaza Masjid Me Namaze Janaza Padhna Jaaiz Nahi Makroohe Tahrimi Or Gunah He. Mazeed Tafseel Ke Kiye Fatawa Razviya Jadeed Jild 9 Ka Muta'ala Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓13 Aug 2020, 22 Zilhijja 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?*

 *Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?* *🌹SAWAL:-🌹* Asalamualaikum, Kise Bache Ke Naam Kabir/ Al Kabir/ Abdul Kabir, in...

Popular Posts