Jamat Tarq Karne Wale Imam Ke Pichhe Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
اسلام علیکم
Kya Koi Aalim E Din Masjid Me Namaz Nhi Padhta Or Ghar Padta Hai To Kya Uske Piche Hamari Namaz Hogi. Hawale Ke Sath Jawab Irshad Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bila Azre Sharai Ya Majboori Vo Imam Jama'at Ek Baar Bhi Jama'at Tark Karta He To Vo Gunahgar Or Mustahiqe Saza He Or Kai Baar Tark Karne Ka Aadi Ho To Vo Fasiq Mardoodush Shahadah He, Usko Imam Banana Gunah Or Uske Pichhe Padhi Gai Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi.

Jaisa Ki Ek Sawal Ke Jawab Me Fatawa Faqihe Millat Me He,

Bila Azre Sharai Ek Baar Bhi Jama'at Chhodne Wala Gunahgar Or Saza Ka Mustahiq He Or Kai Baar Tark Kare To Fasiq Mardoodush Shadah He.
Aysa Hi *📚(Raddul Muhtar, J-1, S-552, Or 📚 Bahare Shariyat, H-3, S-111)* Me He.

Lihaza Zaid Agar Bila Azre Sharai Umooman Jama'at Se Namaz Nahi Padhta To Vo Fasiq W Mardoodush Shahadah He Uske Pichhe Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada He. Or Agar Koi Dusra Laaiqe Imamate Jumuah Ki Sahih Namaz Padha Sakta Ho To Jumuah Ki Namaz Bhi Uske Pichhe Padhna Jaaiz Nahi.

Albatta Agar Jumuah Padhaane Ke Liye Koi Dusra Imam Na Mile To Dusri Masjid Me Jumuah Padhe Or Agar Dusri Masjid Me Bhi Koi Imam Laaiqe Imamat Na Mile To Zaid Ke Pichhe Badarja Majboori Jumuah Padhne Ki Ijazat He.
Aysa Hi *📚(Fatawa Razviya, J-3, S-209)* Me He

Or Hazrat Allama Shaami Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
الفاسق قد عللوا کراھۃ تقدیمہ بانہ لایھتم لامردینہ وبان فی تقدیمہ للامامۃ تعظیمہ وقد وجب علیھم اھانۃ شرعا ولا یخفی انہ اذاکان اعلم من غیرہ لاتزول العلۃ تکرہ امامۃ بکل حال مشی فی شرح المنیۃ علی ان کراھۃ تقدیمہ کراھۃ تحریم "اھ ملخصا
*📚(Raddul Muhtar, J-1, S-560)*
*Ba Hawala: 📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-140)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓1 Sep 2020, 12 Muharram 1442*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts