Kya Huzur ﷺ Ne Farmaya Hazrat Umar Or Abu Bakar Qayamat Me Mere Sath Hoge Ek Riwayat ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Bayan Me He, Huzur ﷺ Masjid Se Tashrif La Rahe The Dayeñ Hath Me Hazrate Umar Ka Hath Or Bayeñ Hath Me Hazrat Abu Bakar Ka Hath Huzur ﷺ Ne Farmaya Qayamat Ke Din Ham Isi Tarah Uthenge.

Is Hadees Ki Daleel Chahiye.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Isi Tarah Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abdullah Bin Umar Bayan Karte Hai, Ek Din Nabi  ﷺ Ghar Se Bahar Nikle Or Masjid Me Dakhil Huve Or Hazrat Abu Bakar Or Hazrat Umar Me Se Ek Aap Ki Daayeñ Taraf The Or Dusre Baayeñ Taraf The Or Aap Un Donoñ Ke Hath Pakde Huve The, Aapne  Farmaya, Ham Qayamat Ke Din Isi Tarah Uthaye Jayeñ Ge.
*📚(Tirmizi Shareef, Hadees-3669)*

Isi Ke Misl Dusri Ahadise Kareema Me He,

Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Ta'ala Anhuma Se Riwayat He,
Beshak RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Sab Se Pahle Apni Qabar Se Me Uthuñga Fir Abu Bakar Or Fir Umar. Phir Ham Ikaththe Jannatul Baqee'a Ki Taraf Jayeñge Or Ahle Baqee'a Hamare Sath Shamil Hoñge Phir Me Ahle Makka Ka Intezar Karuñga Or Vo Mujh Se Aa Mileñge Or Phir Ham Harmain Ke Maabayn Uthaye Jayeñge.
*📚(Jame'a Al-Tirmizi, J-10, S-194, Hadees-3847)*

Hazrat Ibne Umar RadiAllahu Anhuma Se Riwayat He, Beshak RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Me Abu Bakar Or Umar Is Tarah Mahshar Ki Taraf Nikleñge. (Or Aap  ﷺ Ne Chhungli Ke Alawa Tino Ungliyoñ Ko Bahar Nikala) Or Ham Logoñ Me Numaya Hoñge. (Ise Hakeem Tirmizi Ne Riwayat Kiya)*
*📚(Nawadirul Usool, J-1, S-166)*
*📚(Ibne Asaakir, J-30, S-214)*
*📚(Kanzul Ummal, Hadees-32697)*

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu Se Riwayat He, Beshak RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya, Qayamat Ke Din Me Abu Bakar W Umar (RadiAllahu Anhuma) Ke Maabayn Uthuñga, Hatta Ki Harmain Ke Darmiyan Thahruñga Or Ahle Madeena W Ahle Makka Mujhse Aa Mile. (Ise Ibne Asaakir Ne Riwayat Kiya)
*📚(Jame'a Al-Tirmizi, Manaqibe Umar, Hadees-3625)*
*📚(Kanzul Ummal, Hadees-32698)*
*📚(Meezanul Aitedal, J-2, S-389)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓7 Sep 2020, 18 Muharram 1442*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts