Kya Massage Par Salam Ka Jawab Dena Zaroori He?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Mobile Pr Chaitting  Karte Wakt Koi Salam Karta Hai To Jawab Dena Wajib Hai Kya....

Rahenumayi Farmaye...


*🌹JAWAB:-🌹*

Jis Tarah Mobile Or Khat Ke Salam Ka Jawab Wajib He. Isi Tarah Massage Ke Zariye Kiye Gaye Salam Ka Jawab Bhi Wajib He. Mobile Par Guftagu 'Khitab' He Or Massage Ke Zariye Paigam Rasaai "kitab" He Or Fiqah Ka Ye Aam Zabta He,

الکتاب کالخطاب

Kitab ( Khat W Kitab) Khitab (bil Mushafa Guftagu) Ki Tarah He.

*📚(Hidaya Aakhir, J-2, S-286, Majlise Barkaat Mubarak Pur)*


Durre Mukhtar Me He,

ویجب ردجواب کتاب التحیة لان الکتاب من الغاٸب بمنزلة الخطاب من الحاضر 

Khat Ke Salam Ka Jawab Wajib He Kyuñ Ki Gaaib Shakhs Ka Maktoob (khat) Hazir Shakhs Ke Khitab Ki Manzil Me He.

*📚(Fatawa Shami, J-5, S-294)*


Shara'a Counsil Of India Baraily Shareef Ke Fiqhi Seminar Munaqida 4 July 2010 Me Ye Faisla Ho Chuka He Ki "fax, E-mail, Or Massage Ki Tahreer "kitab W Khat" Ke Hukm Me He" Or Khat W Kitabat Ke Salam Ka Jawab Wajib He To Massage Ke Zariye Kiye Gaye Salam Ka Jawab Bhi Wajib Hoga.

*📚(Mobile Phone Ke Zaroori Masaail, S-119)*


Bahare Shariyat Me He,

Khat Me Salam Likha Hota He, Uska Jawab Dena Bhi Wajib He Or Yahañ Jawab Do Tarah Hota He, Ek Ye Ki Zuban Se Jawab De, Dusri Soorat Ye He Ki Salam Ka Jawab Likh Kar Bheje. 


Magar Chuñki Jawabe Salam Fauran Dena Wajib He To Agar Fauran Tahreeri Jawab Na Ho Jaisa Ki Umooman Yahi Hota He Ki Khat Ka Jawab Fauran Hi Nahi Likha Jata Khwamakhwah Kuch Der Hoti He To Zuban Se Jawab Fauran De De, Taaki Takheer Se Gunah Na Ho. Isi Wajah Se Allama Saiyed Ahamd Tahtawi Ne Is Jagah Farmaya, 

Yaani Log Isse Gafil Hai.


Aala Hazrat Jab Khat Padha Karte The Khat Me Jo اَلسَلامُ عَلَيْكُم  Likha Hota He Uska Jawab Zuban Se Dekar Baad Ka Mazmoon Padhte.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, S-463, Maktabul Madina Dehli)*


Massage Bhi Ek Tarah Ka Khat He Lihaza Massage Ke Zariye Bheje Gaye Salam Ka Jawab Bhi Wajib He. Agar Kisi Wajah Se Tahreeran Usi Waqt Jawab Na De Sake To Zuban Se Usi Waqt Jawab De Dena Chahiye.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

1 Oct 2020, 13 Safar 1442*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts