*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulame Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai,
1) Ke Nikah Walima Ke Baad (Jumagi) Wagera 5 Rasmain Ki Jati Hai Kya Wo Karna Zaruri Hai..Ya Nhi Ki Jaae To Chalegaaa?????
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aaj Kal Shadi Ki Aksar Rasme Gair Zaroori Hoti He Uska Karna Shar'an Lazmi Nahi Albatta Wo Rasm O Riwaj Shariat Ke Khilaf Na Ho Maslan Fuzool Kharchi, Be Pardagi Wagairah To Karne Me Shr'an Haraj Nahi.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Shadiyoñ Me Tarah Tarah Ki Rasmeñ Barti Jati Hai, Har Mulk Me Nai Rasm Har Qaum W Khandan Ke Riwaj Or Tareeqe Judagana Jo Rasmeñ Hamare Mulk Me Jari Hai Unme Ba'az Ka Zikr Kiya Jata He.
Rusoom Ki Bina Urf Par He Ye Koi Nahi Samajhta Ki Shar'an Wajib Ya Sunnat Ya Mustahab Hai Lihaza Jab Tak Kisi Rasm Ki Mumane'at Shariyat Se Sabit Na Ho Us Waqt Tak Use Haramo Najaaiz Nahi Kah Sakte Kheench Taan Kar Mamnoo'a Qarar Dena Zyadati He, Magar Ye Zaroor He Ki Rusoom Ki Pabandi Usi Had Tak Kar Sakta He Ki Kisi Fe'ale Haram Me Mubtala Na Ho.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-7)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️5 Jan 2021, 20 Jamadi Ul Awwal 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment