Ojhadi Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Hazrat Baaz Logo Ka Kahna He Ki Bade Janwar Maslan Gaay Bhens, Bel Wagairah Ki Ojhadi Khana Jaaiz He Hazrat Wazahat Farma Dai.

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Halal Janwar Ki Ojhadi Khana Makroohe Tahrimi He Or Makroohe Tahrimi Ka Irtekab Najaaizo Gunah He. Har Makroohe Tahrimi Istehqaqe Jahannam Ka Sabab Hone Me Haram Ke Misl He.


Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alaihir Rahma Taherir Fatmate Hai,


Ojhadi Or Aanteñ Khana Durust Nahi,

Allah Ka Irshad He,

وَیُحرِّمُ عَلَیْھِمُ الخَبَائِثُ

Tarjama: Nabi E Kareem ﷺ Khabaais Yaani Gandi Cheezeñ Haram Farmayeñge..


Or Khabaais Se Murad Vo Cheezeñ Hai Jin Se Saleemut Tab'a Log Ghin Kareñ Or Unheñ Gandi Jane. 


Imame Aazam Abu Hanifa Radiallahu Anhu Farmate Hai,

اما الدم فحرام بالنص  واکرہ الباقیه لانھا مما تستخبثھا الانفس قال تعالیٰ وَیُحرِّمُ عَلَیْھِمُ الخَبَائِثُ 


Isse Maloom Huva Ki Haywane Makoolul Hukam Ke Badan Me Jo Cheeze Makrooh He Unka Madaar Khubas Par He. Or Hadees Me Masana Ki Karahat Mansoos He. Or Beshak Ojhadi Or Aante Khabaais Me  Masana Se Zyada Nahi To Kisi Tarah Kam Bhi Nahi. Masana Agar Ma'adune Bowl He To Ojhadi Or Aanteñ Makhzane Fars He, Lihaza Dalalatun Nass Samjha Jaye Ya Ajza E Illate Mansoosa Baharhaal Ojhadi Or Aanteñ Khana Jaaiz Nahi.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-433)*


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Fatmate Hai,

Dubar Yaani Pakhane Ka Makam, Karsh Yaani Ojhadi, Am'aa Yaani Aanteñ Bhi Is Hukme Karahat Me Dakhil He.

*📚(Fatawa Razviya, J-20, S-232, Raza Foundation Lahor)*


Or Fatawa Faizur Rasool Me He,

Halal Janwar Ki Ojhadi Khana Makroohe Tahrimi Qareebe Haram He.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-432)*


Or Farmate Hai,

Ojhadi Khana Makroohe Tahrimi He Or Makroohe Tahrimi Ka Gunah Haram Ke Misl He.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-433)*


Mazeed Tafseel Ke Liye Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ka Risala Muta'ala Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️21 Jan 2021, 7 Jamadi Ul Aakhir 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts