Sharab Bikti Ho Vaha Cashier Ka Kaam Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Ek Shopping Mall Me Cashier Kaam Karta Hain... Shopping Mall Me Khaane Peene Ki Cheezein Jaise Sharaab Wagera Bhi Milti Hai.. 


Zaid Ka Kaam Sirf Ye Hota Hai Ke Wo Customer Jo Bhi Khareedta Hai Iska Bill Karta Hai Or Usko Deta Hai.. Kabhi Kabhi Sharaab Ki Bottle Bhi Customer Khareedta Hai To Usko Dekar Uska Paisa Leta Hai.. To Kya Aisa (cashier) Kaam Karna Jaiz Hai? Kya Wo Gunahgaar Hoga?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zaid Ka Ayse Shopping Mall Wagairah Me Cashier Ka Kaam Karna Jaaiz Nahi Jisme Sharab Ki Kharido Farokht Hoti Ho.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Sharab Ka Banana, Banwana, Chhuna, Uthana, Rakhna, Rakhwana, Bechna, Bikwana, Mol Lena, Dilwana Sab Haram Haram Haram He. Or Jis Naukri Me Ye Kaam Ya Sharab Ki Nigehdasht Uske Damoñ Ka Hisab Kitab Karna Ho Sab Shar'an Najaaiz He.

قال اﷲ تعالی : ولاتعاونوا علی الاثم والعدوان۱

Or Gunah Or Zyadati Ke Kaamo Me Ek Dusre Ki Madad Na Kiya Karo.

*📚(Qura'anul Kareem, Surah-5, Aayat-2)*

*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-555, Mas'ala-239)*

Or Ek Jagah Farmate Hai,

Haram Haram Haram Or Maujube La'anat, RasoolAllah  ﷺ Farmate Hai,

ہیں:لعن اﷲ الخمر وشاربہا وساقیہا ومبتاعہا وبائعہا وعاصرہا ومعتصرہا وحاملہا والمحمولۃ الیہ ۱؎(رواہ ابوداؤد وابن ماجۃ) وزادالترمذی واکل ثمنہا 

Yaani Allah Ta'ala Ne La'anat Farmai He Sharab Par, Or Jo Use Piye, Jo Pilaye, Jo Mol Le. Jo Beche, Jo Nichode, Jo Nichodwaye, Jo Utha Kar Laaye. Jis Ke Liye Utha Kar Laai Jaye. (Use Abu Dawood Or Ibne Maja Ne Riwayat Kiya)

*📚(Sunan Abu Dawood, Kitabush Sharba, Aaftab Aalam Press Lahor, Jild-2, Safha-161)*

*📚(Sunan Ibne Maja, Safha-250)*

 Or Tirmizi Ne Ye Zyada Kiya Jo Uske Daam Khaye Un Sab Par.

*📚(Jame Ul Tirmizi, Jild-1, Safha-155)*

*📚(Fatawa Razviya, J-19, S-529, Mas'ala-201)*

Lihaza Zaid Ka Ese Shopping Mall Wagairah Me Kaam Karna Jisme Sharab Ka Mol Lena Ya Sirf Utha Kar Dena Bhi Hota Ho Najaizo Haram Balki Maujube La'anat He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓25 Jan 2021, 11 Jamadi Ul Aakhir 1442*

📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts