*🌹SAWAL:-🌹*
Sehri Ke Bagair Or Koi Niyyat Nahi Ki Subah Time Nikal Jane Ke Bad Pata Chala To Kya Roza Hojayega
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sahri Nahi Ki Or Sahri Ka Waqt Khatm Ho Gaya Balki Subah Utha To Pata Chala Is Soorat Me Agar Kuchh Khaya Piya Nahi Ya Koi Amr Roza Ke Mukhalif Na Kiya Ho To Zahwe Kubra Ke Pahle Niyat Karle Roza Ho Jayega.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Maahe Ramzan Ka Roza Farz Jab Hoga Ki Vo Waqt Jis Me Roza Ki Ibteda Kar Sake Paa Le Yaani Subah Sadiq Se Zahwe Kubra Ki Uske Baad Roza Ki Niyyat Nahi Ho Sakti, Lihaza Roza Nahi Ho Sakta.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Ka Bayan, Mas'ala-4)*
Or Farmate Hai,
Adaye Roza Ramzan Or Nazre Muayyan Or Nafl Ke Rozoñ Ke Liye Niyyat Ka Waqt Guroobe Aaftab Se Zahwe Kubra Tak He, Us Waqt Me Jab Niyat Karle Ye Roze Ho Jayenge.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Ka Bayan, Mas'ala-6)*
Or Farmate Hai,
Din Me Vo Niyyat Kaam Ki He Ki Subah Sadiq Se Niyat Karte Waqt Tak Roza Ke Khilaf Koi Amr Na Paya Gaya Ho, Lihaza Agar Subah Sadiq Ke Baad Bhul Kar Bhi Kha Pi Liya Ho Ya Jima'a Kar Liya To Ab Niyat Nahi Ho Sakti. Magar Moatemad Ye He Ki Bhulne Ki Halat Me Ab Bhi Niyat Sahih He.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Ka Bayan, Mas'ala-16)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓24 April 2021, 11 Ramzanul Mubarak 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment