*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Agar Koi Rishtedar Garib Hai Or Uske Husband Ki Bhi Tabiyat Thik Nhi Hai, To Kiya Unko Zakat Or Fitra Ki Rakam Unko Bina Bataye De Sakte Hai, Kyuke Agar Unko Bataya Gaya To Unko Sharmingi Mehsus Ho Ya Fir Wo Na Le, To Kiya Iss Surat Mai Dil Mai Irada Karke Unko Zakat Or Fitra Ada Kar Sakte Hai,. Kiya Isse Zakat Or Fitra Ada Ho Jayaga.,
Note: Unko Sirf Ye Kehkar Paise Diye Hai Ke Apke Bhai Ne Bhijwaya Hai..
Rehnumayi Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Rishtedar Agar Mustahiqe Zakat He To Pahle Unko Zakat Dena Afzal He, Or Zakat Ke Liye Kah Kar Dena Zaroori Nahi Ki Ye Zakat He, Niyat Kaafi He, Balki Tohfa Ke Taur Par Ya Eidi Taur Par Bhi De Sakte He.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Zakat Dene Me Iski Zaroorat Nahi Ki Faqeer Ko Zakat Kah Kar De, Balki Sirf Niyyate Zakat Kaafi He Yahañ Tak Ki Agar Hiba Ya Qarz Kah Karde Or Niyyat Zakat Ki Ho Ada Ho Gai. Yuñhi Nazr Ya Hadiya Ya Paan Khane Ya Bachchoñ Ke Mithai Khane Ya Eidi Ke Naam Se Di Ada Ho Gai. Ba'az Mohtaj Zaroorat Mand Zakat Ka Rupya Nahi Lena Chahte, Unheñ Zakat Kah Kar Diya Jayega To Nahi Leñ Ge Lihaza Zakat Ka Lafz Na Kahe.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-76)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓8 May 2021, 25 Ramzanul Mubarak 1442
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment