Roza Me Kulli Karte Waqt Paani Halq Ke Niche Utar Gaya To ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ulema Ikeaam Hazraat Ki Baargaah Me Mera Salaam Arz Hai


Assalaam Alaikum Wa Rahmatullaahi Wa Barakaatuhu 

Mera Sawaal Hai,

Agar Azan Se Pehle Hi Roze Ki Niyyat Ki Thi Aur Wuzu Ki Haalat Me Kulli Karte Waqt Ya Naak Me Pani Chadhaate Waqt Pani Be-ikhtiyaar Hi Gale Se Neeche Utar Gaya To Kya Roza Toot Gaya Ya Baaki Raha.?


Baraaye Karam Is Sawal Me Meri Islah Farmayein, Jazaakalllaah


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Rozadar Hona Yaad Ho Aur Kulli Karne Me Be Ikhtiyar Paani Halaq Se Utar Gaya To Roza Tut Jaayega. Or Agar Rozadar Hona Bhul Gaya Ho To Nahi Tutega..


Bahare Shariyat Me He,

Kulli Kar Raha Tha Bila Qasd Paani Halq Se Utar Gaya Ya Naak Me Paani Charaya Or Dimag Ko Char Gaya Roza Jata Raha, Magar Jabki Roza Hona Bhul Gaya Ho To Na Tutega Agarche Qasdan Ho. Yuñhi Kisi Ne Rozadaar Ki Taraf Koi Cheez Phenki, Vo Uske Halq Me Chali Gai Roza Jata Raha.

 *📚(Bahaare Shariyat, H-5, Roza Todne Wali Cheezoñ Ka Bayan, Mas'ala-11)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️19 July 2021, 8 Zulhijja 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts