*🌹SAWAL:-🌹*
Sauteli Khala Se Nikah Ho Sakta H...?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sauteli Khala Se Murad Ye Ho Ki Apni Sauteli Maañ Ki Sagi Bahan To Usse Nikah Jaaiz He. Jab Ki Koi Or Maane'a Nikah Na Ho. Or Isse Murad Agar Ye Ho Ki Apni Haqeeqi Maañ Ya Razaai Maañ Ki Sauteli Bahan To Isse Nikah Haram He.
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Soteli Maañ Ka Baap Na Apna Nana, Na Soteli Maañ Ki Bahan Apni Khala. Soteli Maañ Ki Haqeeqi Maañ Ya Bahan Ya Beti Sab Se Nikah Jaaiz He.
Durre Mukhtar Me He,
لاتحرم ام زوجۃ الاب ولابنتھا
Baap Ki Mankooha Ki Maañ Or Beti Haram Nahiñ Hoti.
*📚(Raddul Muhtar, J-2, S-279)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-175)*
Isi Tarah Ek Or Jagah Farmate Hai,
Sauteli Maañ Ki Bahan Se Nikah Jaaiz He, Kuchh Harj Nahi
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-401)*
Or Farmate Hai,
Sauteli Khala Ke Haram He Iske Ma'ana Haqeeqi Ya Razaai Maañ Ki Sauteli Bahan, Na Ki Soteli Maañ Ki Haqeeqi Ya Razaai Bahan.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-182)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
*🗓1 Aug 2021, 21 Zulhijja 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment