*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat
Hazrat Office Me Makara Sankranti (Yani Hindu Ka Naya Sala Shuru) Ki Wish Karna Kaisa ❓ Khushi Se Wish Na Karne Par B Kufr Ka Hukm Lagega Kya Hazrat ❓
Ispar Thoda Tafseel Jawab Group Me Inayat Karen Hazrat
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Makar Sankranti Hinduoñ Ka Ek Mazhabi Tyohar He. Jo January Mahine Me 14 Ya 15 Tarikh Ko Manaya Jata He. Tamilnadu Me Ise Pongal Or Kerla Karnatak Wagairah Me Sankarati Or Kai Jagah Uttrayan Wagairah Naamo Se Jana Jata He. Gair Muslim Ka Maanna He Is Din Sankranti Ke Din Suraj Ka Utrayan Hota He Ki Jab Suraj Dhanur Rashi Ko Chhod Makar Raashi Me Aata He. Makar Sankranti Ke Din Se Suraj Ki Utrayan Gati (Niche Aane Ki Raftar) Ki Shuruaat Hoti He. Is Liye Ise Uttrayan Bhi Kahte He. Hinduoñ Ka Maanna He Vo Sankrati Ke Din Ko Shubh Yaani Achha Jante He Isi Liye Vo Log Is Din Apne Bhagwan Ki Pooja Ya Khairaat Or Digar Dhaarmik Kaam Karte He. Gair Muslim Ka Maanna He Is Din Unke Bhagwan Bhaskar Apne Bete Shani Se Milne Uske Ghar Jate He, Unkaa Manna He Ki Shani Dev Makar Raashi Ke Swami He. Is Liye Bhi Ise Makar Sankranti Kahte He... Or Bhi Kai Baateñ Unke Dharm Ki Is Din Se He.. (Zahiran Ye Islam Ke Khilaf Aqaaid He)
Or Dusra Ye Bhi Ki Iswi 1700 Se Ke Karib Punjab Ke Ek Gair Muslim Ne Huzur ﷺ Or Hazrate Fatima Zahira Radiallahu Anhu Ki Shan Me Gustakhi Ki Or Use Faansi Ki Saja Di Gai Uski Yaad Me Gair Muslimo Ne Virodh Kiya Or Is Din Uski Yaad Me Mela Lagaya Or Patang Wagairah Ka Ehtemam Kiya... Lihaza Ye Nabi E Kareem ﷺ Or Hazrate Fatima Ke Gustakh Ki Yaad Me Jashn Or Mele Ki Shuruaat Hui..
Lihaza Zahir He Ki Ye Din Unka Mazhabi Tyohar He..
Mubarakbaadi, Ek Barkat Ki Duaa Hai. Or Gair Muslim Ko Barkat Ki Duaa Dena Jaaiz Nahi. Un Ke Tyohaar Ki Mubarakbaadi Dena Ya Us Mein Shareek Hona Us Qaum Ki Mushabehat Karna Hai.
Iss Ta'alluq Se Ek Mashoor Hadees Hai,
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ
Ibn-e-Umar Radiallahu Anha Ne Kaha, Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya, Jo Jis Qaum Ki Mushabehat Kare, Wo Unhiñ Mein Se Hai.
*📚(Sunan Abu Daud : 4031)*
Unke Mazhabi Tyohar Par Mubarak Dene Ke Ta'alluq Se Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Un Mushrikana Mazhabi Tyoharoñ Par Hinduoñ Ko Mubarak Baad Dena Ashad Haram Balki Munjir Ilal Kufr He. Jo Musalman Aysa Karte Hai Un Par Taubah W Tajdeede Iman W Nikah Lazim He.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-565)*
Lihaza Hinduoñ Ke Tahevar Makar Sankranti Ki Khushi Se Mubarak Baad Dena Haram Ashad Haram Balki Kufr He. Or Agarche Bura Jaan Kar Mubarak Baad Di Fir Bhi Haram Gunahgar Azabe Ilahi Ka Haqdaar Zaroor He. Musalamanoñ Ko Isse Zaroor Ehtiyat Chahiye..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 Jan 2022, 10 Jamadi Ul Aakhar 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment