*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Hazrat Aap Khairyat Se He?
Aapse Guzarish He Baraye Karam Namazo Me Raffeden Krne Ka Masla Bataya Ye Hum Imam A Azam Abu Hanifa Radiyallahu . Ko Maane Wale Kyu Nhi Krte Or Baki Jo Imam Shafi Wale Kyu Karte He? Or Ahle Hadees Kyu Krte He Raffeden? Kahi Log Kehte He Hadees Me To Raffeden Krna Likha .. Tum Hadees Ki Mutabik Namaz Nhi Pad Rahe Ho...
To Hum Aise Shaks Ko Jawab Kese De.. Kese Sabit Kre Dalil Se ....
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ham Hanfiyo Ke Nazdik Rafa'a Yaden Na Karna Sunnat He... Rafa'a Yaden Karne Ki Jo Ahaadis He Wo Pehle Ki He Ba'ad Me Aap ﷺ Ne Rafa'a Yaden Tark Farma Diya... Yaani Jin Ahaadis Me Rafa'a Yaden Ka Suboot He Wo Pehle Ki He Jo Mansookh He..
Tehqiq Mulahiza Ho...
حدیث نمبر 38
Riwayat He Hazrat Alqahum Se Farmate Hai Ki Hamse Hazrat Ibne Masood Ne Farmaya Kya Me Tumhare Samne Huzur Ki Namaz Na Parhuñ To Namaz Parhi To Aapne Hath Sirf Ek Baar Hi Yaani Shuru'a Ki Takbir Ke Sath Uthaye.
Alqamah Chand Hai. Yahañ Alqamah Ibne Qais Ibne Malik Murad Hai Jo Mash'hoor Tabaee Hai Or Hazrat Ibne Masood Ke Sathiyoñ Me Se Aapki Mulaqat Khulfa E Rashideen Se Bhi He. Ye Hadees Imame Aazam Ki Qawi Daleel He Ki Ruki'a Me Jate Aate Rafa'a Yaden Nahiñ. Hazrat Ibne Masood Bade Faqih Sahabi Or Aakhir Dam Tak Huzur ﷺ Ke Safar Or Hazar Ke Sathi Hai, Huzur Ki Namaz Par Jaide Aap Matla'a Ho Sakte Hai Ayse Dusre Vo Sahaba Jo Kabhi Kabhi Hazire Bargah Hote The Matla'a Nahiñ Ho Sakte The,
Daar Qutni Or Ibne Adi Ne Inhiñ Hazrat Ibne Masood Se Riwayat Ki, Farmate Hai Ki Huzur ﷺ Ke Pichhe Bhi Namazeñ Parhi Hai Or Hazrat Siddique Akbar W Farooq Ki Iqteda Me Bhi Jin Me Se Koi Buzurg Siwa E Takbire Tahreema Ke Or Kisi Waqt Namaz Me Hath Nahiñ Uthate The, Neez Bahut Sahaba E Kiram Se Isi Tarah Riwayatem Hai.
Ham Ne Rafa'a Yaden Na Karne Ki Pachchis 25 Hadeeseñ Apni Kitab "jaa Al Haq" Hissa Dom Me Jama'a Ki Hai. Khayal Rahe Ki Hazrat Ibne Masood Sahab Or Tabaeen Ke Majma'a Me Ye Namaz Parh Kar Dikhate Or Koi Aap Par Aiteraz Nahiñ Karta.. Maloom Huva Ki Vo Tamam Hazraat Rafa'a Yaden Na Karne Par Mutaffiq He.
*📚(Miratul Manaajih, J-2, Hadees-38)*
Iski Mazeed Malumat Karni Ho To Jaa Al Haq Ka Dusra Hissa Deke...
Note: Aaj Ke Jitne Gair Muqallid He Wo Dawa Karte He Ke Ham Hadees Par Amal Karte He Unko Challange He Ke Rafa'a Yaden Ki Tamam Ahaadis Par Amal Kar Ke Dikhao... Kyu Ki Bahut Si Ahaadis Me Rafa'a Yaden Karne Ka Subut He Jo Ibtida E Islam Ki He Our Baad Ki Ahaadis Me Aap ﷺ Ne Rafa'a Yaden Tark Farma Diya Thaa.. Jis Par Bahut Si Ahaadis Moujud He ...
Ab In Gair Muqallido Se Kaha Jaae Ke Tum Ek Hi Waqt Me Dono Tarh Ki Ahaadis Par Amal Kar Ke Dikhlaao.. Kbhi Nahi Kar Sakte... Lihaza Un Par Taqlid Lazim He...shawafe Jo Imam Ki Taqlid Karte Hue Rafa'a Yaden Karte He Unpar To Kalam Nahi... Ke Wo Imam Ki Taqlid Kar Rahe He ..magar Gair Muqallido Ke Liye Koi Raah Nahi Ke Wo Ek Hi Waqt Me Rafa Yaden Ki Tamam Ahaadis Par Amal Kar Sake...
Our Rafa Yaden Ke Mas'ale Me Ahnaf Ka Mauqif Nihayat Qawi He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya, Dahod Gujarat.*
*🗓️27 Jan 2022, 23 Jamadi Us Saani 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment