*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum, Qibla Mufti Sb Sawal Hai, Zaid Ne Kaha Khana Khane Wale Se Salam Nahi Karna Chahiye, Aur Jo Khana Kha Raha Hai Wo Bhi Salam Naa Kare,, To Bakar Ne Kaha Ye Kaha'n Likha Hai, Mujhe Daleel Chahiye, ,
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Log Khana Kha Rahe Hoñ Us Waqt Koi Aaya To Salam Na Kare, Haañ Agar Ye Bhuka He Or Janta He Ki Use Log Khane Me Shareek Karleñge To Salam Karle. Ye Us Waqt He Ki Khane Wale Ke Munh Me Luqma He Or Vo Chaba Raha He Ki Us Waqt Vo Jawab Dene Se Aajiz He Or Abhi Khane Ke Liye Betha Hi He Ya Kha Chuka He To Salam Kar Sakta He Ki Ab Vo Aajiz Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Salam Ka Bayan, Mas'ala-11)*
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️10 Feb 2022, 8 Rajab 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment