*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Hazrat Mera Sawal Hai K Aisi Koi Hadis Hai K Jiska Mafhum Hai K Suraj Ki Roshni Me Garam Kiya Huva Pani Gusal K Yani Nahane K Liye Durust Nahi Hai Aisa Karne Par Kodh Ki Bimari Hone Ka Khatra Hai.
Aur Agar Aisi Koi Hadis Hai Ya Nahi To Iska Solar Panel Ki Electricity Se Garam Kiya Pani Ka Mas-ala Bataye. Or Sard Mulk USA Wagairah Me Kya Hukm He ?
JazakAllah
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Miraatul Manajeeh Me He,
Riwayat He Hazrat Umar Ibne Khattab Se Aapne Farmaya Ki Dhup Ke Garam Shuda Paani Se Gusl Na Karo Is Liye Ki Vo Kodh Paida Karta He.
*📚(Rawahud Dar Qutni)*
Ye Agarche Farooqe Aazam Ka Qaul He, Lekin Sahaba E Kiram Ki Maujudgi Me He Or Kisi Ne Is Par Eiteraz Nahi Kiya Jisse Ye Mas'ala Ijmaai Ho Gaya. Zahir Ye He Ki Isse Har Paani Murad He Thoda Ho Ya Zyada, Lihaza Hoz Ka Paani Jab Dhup Me Garam Ho Jaye To Usse Wuzu Na Kiya Jaye.
*📚(Miraatul Manajeeh Sharah Mishkaatul Masaabih, J-1, Paaniyoñ Ka Bayan, Hadees-489, S-309,310)*
Or Bahare Shariyat Me He,
Jo Paani Garam Mulk Me Garam Mausam Me Sone Chandi Ke Siwa Kisi Or Dhaat Ke Bartan Me Dhup Me Garam Ho Gaya, To Jab Tak Garam He Usse Wuzu Or Gusl Na Chahiye, Na Usko Peena Chahiye Balki Badan Ko Kisi Tarah Pahunchana Na Chahiye, Yahañ Tak Ki Agar Usse Kapde Bhig Jaye To Jab Tak Thanda Na Ho Le Uske Pahanne Se Bacheñ Ki Us Paani Ke Istemal Me Andesha E Bars He Phir Bhi Agar Wuzu Ya Gusl Kar Liya To Ho Jayega.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Baab Kis Paani Se Wuzu Jaaiz Or Kisse Nahi, Mas'ala-27)*
Lihaza Mas'ala Saaf He Ki Is Tarah Direct Paani Ke Bartan Me Ya Hoz Wagairah Me Suraj Ki Garmi Se Paani Garam Huaa To Usse Wuzu Ya Gusl Na Kare Ki Isse Bars Yaani Safed Daag Ki Bimari Paida Hone Ka Andesha He, Or Agar Kar Liya To Wuzu Or Gusl Ho Jayega.. Kyuñ Ki Ye Karahat Karahate Tahreemi Nahi Balki Tanzihi He... Or Sard Mulk Jaise USA Wagairah Usme Karahat Bhi Nahi..
Or Agar Paani Machin Ke Zariya Garam Kiya Gaya Maslan Solar System, Heater Wagairah Ki Usme Direct Suraj Ki Shuaa E Nahiñ Pahunchti Balki Machin Ke Zariya Paani Garam Hota He, To Ye Suraj Se Garam Huve Paani Ke Hukm Me Nahi, To Bila Karahat Usse Wuzu Gusl Jaaiz He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya, Dahod Gujarat*
*🗓️15 Jan 2022, 11 Jamadi Us Saani 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment