*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat, Naate Paak Ki Mahefil Ya Taqreer Wagairah Ki Mahefil Me Awam Ko Daurane Mahefil Intezamiya Chay Wagairah Dena Kesa He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Daurane Mahefile Taqaarir Ya Milad Intezamiya Ka Chay Wagairah Baatna Durust Nahiñ.. Jis Tarah Or Khutbaat Ko Sunna Zaroori He Usi Tarah Mahefile Taqaarir Me Bhi Waaz Sunna Zaroori He... Or Daurane Mahefil Chay Wagairah Dene Ya Baatne Se Awam Or Khatib Dono Ka Zahan Bhatakta He, Jo Ki Gair Munasib He... Bahetar Yahi Ki Taqreer Ke Dauran In Sab Baato Se Bache...
Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,
Stage Par Taqreer W Na'at Khwani Ke Dauran Paan Ya Chaye Shugl Karna Bura He Or Tilawat Ke Dauran Taali Ko Bajana Khilafe Awla He Or Saame'a Ko Najaaiz W Haram He, Khutba W Wa'aza Bhi Misl Digar Khutbaat Ke Sunna Zaroori He Is Dauran Bhi Saama'een Ko Chaye Wagairah Pina Najaaiz He.
*📚(Fatawa Tajushshariya, J-9, S-147)*
Or Farmate Hai,
Milaad Shareef Ki Mahefil Me Naat Khwani Ke Dauran Chaye Wagairah Me Mashgooliyat Achchi Nahiñ.
*📚(Fatawa Tajushshariya, J-9, S-148)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️11 March 2023, 18 Shabanul Muazzam 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment